Saturday, June 9, 2012

DHARMENDRA SINGH TOMAR

"VAADA-( A JOURNEY OF LOVE)"

        Dosto me aapka RAJVEER(DHARMENDRA SINGH TOMAR)

    aaj aapke saamne ek ese ladke ki kahani lekar aaya hu, jiski jindgi ek vade ne badalkar rakh di.

    Vade bhi kitna ajeeb hote . Insaan inhi vado par jita he aur ek din inhi vado par mar jata he.

    To 1 july ka din he. Gwalior ke Scindhia Royal school ke room no. 24 me kafi saara shor ho raha he. Ye room he class 12 biology group ka. Class ke saare bachche apne naye biology teacher ka intejaar kar rahe he?

    Class me ek group he vickey, nimi, rj,mohit aur simran ka.

    Vicky,' guys, koi batayega? Hamare bio sır kese dıkhte he"

    Rj ne aankh marte hue kaha ,' are mujhe to nimi ko dekhne se hi furşat nahi"

    ek thahaka sa room me gunj gaya.

    Nimi naraj hokar boli,' apni shakal dekhi he aaine me"

    Tabhi room me ek ladka chillaya,'sir aa gaye"

    saare bachche daudkar apni apni seato par beth gaye. Tabhi mr. Sandesh ne kamre me kadam rakha. Umr kareeb 24 saal. Kad 5' 9", average body, wheatish colour, chehre par halki munche, sab kuch samany sivay ek ke 'unki aawaj" jisme ek ajeeb si khanak thi.

    Saare bachche khade ho gaye,

    ' good morning sir "

    Sandesh,' morning sit down"

    tabhi sandesh ki najar mohit par gai jo abhi bhi seat par betha tha.

    Sandesh gusse me bola,

    ' mr. You, stand up and get out "

    mohit ek dam se chonk gaya.

    use ye sab kahne ki himmat principle ki bhi nahi thi. Aakhir vo school ke chairman ranjeet singh sisodia ka eklauta beta tha.

    Mohit abhi bhi betha hua tha. Sandesh gusse me jalbhun gaya. Vo mohit ki seat par aaya aur uski collar pakad kar use khada kiya aur bola,

    ' i said leave now"

    mohit ne unki aankho me aankhe daalkar kaha,

    'Aap mujhe jaante nahi he, ye sab aapko bahut mahnga padega."

    agle hi pal ek jhannatedar chanta sandesh ne mohit ke gaal par de maara. Aur gusse me kaha,

    ' get out, right now!!!"

    mohit dandanata hua class se chala gaya. Room me ek ajeeb sa sannata chha gaya.

    Sandesh ne class me padana start kar diya.

    Mohit ne apni car start ki aur ghar aa gaya. Usne apne kamre me jaakar apna school bag fenk diya. Aur gusse me t.v. Uthakar patak diya. Fir baari aai furniture ki uska bhi bura haal kar diya. Udhar tab tak kamre me uske dad aawaje sunkar daudte hue aaye.

    Dad," ye kya ho raha he mohit"

    mohit ne unki baat ko ansuna kar diya aur saaman ki todfod karta raha. Uske dad daudkar uske paas aaye aur uska hath pakad liya,

    dad,'beta kya baat he"

    mohit gusse me,' uski itni himmat , mujhe mohit singh sisodia ko thappad mara, i will kill him"

    dad ,' kuch bataoge bhi."

    mohit,' dad, us bloody bio teacher ne mujhe mara. Vo samjhta kya he apne aapko, me use chhodunga nahi."

    mohit ke dad kuch soch me pad gaye tabhi mohit chillakar bola,

    ' use school se nikal dijiye, varna me school nahi jaunga."

    dad,' mohit, apna gussa control karo, me dekhta hu kya karna he."

    ye kahkar dad us kamre se chale gaye.aur seedhe school pahuche.

    Idhar mr. Sandesh apni class le rahe the.tabhi peon ne aakar kaha ki,

    ' sir aapko principle sir bula rahe he"

    mr. Sandesh ne bachcho ko intejaar karne ko kaha aur chal diye,

    idhar vicky simran aur rj se bola,

    ' guys, something going to be wrong, sir ko esa nahi karna chahiye tha, mohit aaj bahut gusse me gaya he pata nahi kya hoga,"

    nimi,' are sir ko thode hi pata tha ki mohit es school ke chairman ka beta he."

    udhar principle chamber me sandesh pahuche to vaha principle ke chehre par ghabrahat saaf dikhai de rahi thi. Unhone sandesh se kaha,

    ' mr. Sandesh ye hamare chairman sir he aapse kuch baat karna chahte he me tab baahar hu."

    sandesh,' good morning sir"

    Ranjeet singh ne sandesh ko gaur se dekha aur uske pass aakar bole,

    ' achcha laga, es school me koi to esa mila jo mere bete ko as a normal student ki tarah treat karta ho."

    sandesh,' sorry sir, lekin mujhe discipline todne wale pasand nahi.'

    ranjeet singh,' no no , tumhe sorry bolne ki koi jarurat nahi he mujhe sab pata chal gaya he. Galti mohit ki thi.

     ye sab meri galti he , mohit ki is haalat ka jimmedar me hi hu.

    Ranjeet singh,' sandesh , mohit tb sirf 2 saal kaa tha jab uski maa se mera divorce hua. Mene use kabhi kisi cheej ki kami nahi hone di sab kuch diya,

    lekin mere andhhe pyar ne use laparwah bana diya. Uske andar ego aur overconfidence itna bhar chuka he ki vo dunia me sirf khud ko hi superior samjhta he. Koi use sahi galat bataye to uska ego hurt ho jata he,

    vo jis raaste par jaa raha he vaha barbadi ke siva kuch nahi he, lekin me bebas hokar sirf dekh sakta hu,

    aaj barso baad esa koi mila he jo mohit ko sahi aur galat ka fark samjha sakta he,"

    sandesh,' sir, aap kya chahte he mujhse"

    Ranjeet singh,' sandesh, me aaj se use tumhe saumpta hu, chahe jo karo,me tumhare pass shikayat lekar nahi aaunga, bus use insaan bana do."

    itna kahte kahte ranjeet singh ki aankhe bhar aai. Sandesh ne aage badkar unka hath pakadkar kaha,

    ' please sir roiye nahi, aap mujhse bade he aapka hak banta he, me aapko vachan deta hu mohit ko esa bana dunga ki aap ko us par garv hoga."

    ranjeet singh ne khush hokar kaha,

    ' bahut achche sanskar paaye he tumne, me aaj raat ki flight se 1 mahine ke liye canada ja raha hu, tab tak mohit tumhare paas meri amanat rahega."

    sandesh ,' bharosha rakhiye, aapke aane tak sab badal chuka hoga,"

    aur fir mohit ke dad usi raat canada chale gaye. Udhar dusre din sandesh apni class me jese hi pahuche, mohit unhe dekhte hi chonk gya . Kyunki use puri umeed thi ki sandesh ki school se chutti ho chuki hogi. Lekin vo jahar ka sa ghoont pi kar rah gaya.

    Sandesh ne padana shuru kiya. Tabhi sandesh ne dekha ki mohit apne sath bethe RJ se baate kar raha he, sandesh ko gussa to bahut aaya lekin vo use pee gaya. Vicky bahut hi bright student tha. Aur sandesh brilliant tutor, pahle lecture se hi vicky sandesh sir ka fan ho gaya. Sandesh jitne achche teacher the utne hi achche insaan bhi the. Vo extra classes bhi shaam ko lete the jisme vo bachche aate the jo class me cover nahi kar pate the, ek din shaam ko mohit, vicky, Rj aur kuch bachche school ground me vollyball khel rahe the tabhi . .......

    Sandesh jab ground ke paas se jaa rahe the to mohit ke dimag me ek plan aaya.

    Usne apna turn aane par vollyball ko sandesh ki taraf itni jor se hit kiya ki vo seedhi sandesh ke chehre par lagi. Sandesh ka nichla hoth fat gaya aur teji se khoon bahne laga.

    Mohit ki body games khel khel ke bahut strong ho chuki thi. Ye hit itni joro se lagi ki sandesh ground par gir pade.

    Saare ladke daudkar sandesh ke pass aa gaye. Vicky ne unhe apni goad me utha liya. Rj daudkar first add box laya. Lekin bleeding rukne ka naam nahi le rahi thi.

    Vicky ne Rj se kaha ' lagta he sir ko hospital le jana padega."

    Rj daudkar Mohit ke paas aaya usne mohit ki car ki key mohit ki jeb se nikali aur sandesh ko lekar hospital aa gaya. Dr ne unke lower lips ki surgery ki.

    Kareeb 2 ghante baad unhe dr ne kuch drugs aur injection diye aur raat bhar ke liye hospital me admit kar liya.

    Udhar Sandesh ke ghar me uski bahen ko jab ye pata chala to vo bhagi bhagi hospital aai.

    Idhar Mohit ko apni car lene hospital aana pada to vaha use Vickey aur Rj mil gaye.

    Vickey bola,' tu apne aap ko samajhta kya he, sandesh ne jara sa daant diya to tumne ye kiya unke sath. Vo hamare teacher he unka hak he hamari galtiyo par naraj hone ka. Lekin aap ke andar to itni garmi bhari he ki kuch samjhna nahi chahte,

    jante ho unki bimaar bahen unke room me bethi he,

    she is a patient of acute pthelsimia.

    Vo bechari jo khud bistar se uth nahi pati . Vo yaha tak kese aai hogi. Sir ki haalat dekhkar roye ja rahi he. Lekin tum se to baat karna hi bekar he. Aaj mujhe ghin aa rahi he tumse.

    INSAAN HO YA JAANVAR"

    vickey gusse me aur na jane kya kya bol gaya.

    Rj ne bhi vickey ka support kiya vo bola,

    ' Agar thodi bahut sharam aur insaaniyat baki he to jaakar maafi mang lo."

    ye kahkar vo dono to chale gaye lekin mohit vahi khada rah gaya.

    Uske bachpan ke dost aaj ek paraye insaan ke liye kya kya bol gaye. Usne itni badi galti to nahi ki he. Vo khud ko samjhata hua jane ko hua to uske man ne kaha kam se kam ek bar dekh leta hu ki vo bio teacher ko kesa sabak mila he,

    Sandesh ke room ke pass jab mohit aaya to use kisi ki aawaj bheetar se sunai de rahi thi. Vo vahi gate ke bagal me chhip kar khada ho gaya. Andar sandesh aur unki sister baat kar rahe the.

    Sister,' me tere upper bojh ban gai hu . 5 baras se tu mere liye kolhu ke bel ki tarah laga hua he. Apni jindgi ko mujhpar luta diya tune gaon ki jameen , ghar sab bech diya mere ilaaj me,

    higher education nahi kar paya. Aur aaj in ameerjado ki ulti seedhi harkate meri vajah se jhel raha he.

    Meri saanso ki ginti bahut thodi bachi he sandesh, mujhe chod de mere haal par . Chal ham dono bhai bahen gaon me rahenge. Ye shahar ham jese logo ke liye nahi he."

    sandesh, ' nahi didi, esi baat nahi he, mohit bahut achcha ladka he, bas thoda se shaitan he par dil ka heera he. Dekhna vo ek din bahut bada aadmi banega."

    sister,' naam mat lo uska, tum itne bhole ho tumhe har koi apne jesa lagta he."

    sandesh,' didi, aap ko yaha nahi aana chahiye tha. Aap khud theek nahi he.

    Didi kal 23 sep he aapki therepy honi he,

    mujhe aaj hi principle sir se salary advance ki baat karni padegi. Ab aap ghar jaiye me theek hu yaha."

    sister,' theek he me jati hu tum rest karo."

    MOHIT vaha khada vo sab sun chuka tha. Unki baate sunkar uske paththar ban chuke dil se dard ka jharna behne laga. Vo rone laga. Use apni galti ka ehsaas ho gaya tha. Tabhi sandesh ki sister bahar aai vo kafi thaki lag rahi thi.

    Mohit ne apne aannshu poche aur daudkar didi ke pass aaya,

    ' namaste didi, me aapko ghar chod du"

    sandesh ki sister ne use palatkar dekha.

    Mohit 17 saal ka tha.

    Lekin uski body aur height ke karan vo complete man tha, ha uske chehre uski umr jhalak jati thi.

    ' mene aapko pahchana nahi, kya aap mujhe jante he.?"

    mohit,' didi, sandesh sir hamare teacher he."

    sister,' achcha to tum student ho, theek he chalo."

    mohit sandesh ke ghar aa gaya. Sister ne use andar aane ko kaha to mana nahi kar paya.

    Drawing room me saamne almari me trophies aur medals ki line lagi thi.

    Mohit kuch puchta isse pahle hi sister kahne lagi.

    ' ye sab tumhare sir ne jeete he,"

    Mohit ghar ki halat dekhkar samajh gaya tha ki sandesh sir ki economic condition kesi hai.

    Sister,' tum betho me chai lekar aati hu"

    mohit,' nahi didi aap pareshan na ho raat bahut ho gai he me chalta hu."

    tabhi mohit ki najar ek photo par gai jisme sandesh badminton cup liye hue the.

    Mohit vaha se seedhe hospital aa gaya.

    Sandesh ko doctor ne painkiller aur sleeping pills de di thi.

    Mohit , sandesh ke bed par aa kar side pe beth gaya.

    Mohit ne aage jhukkar sandesh ke chehre par lage ghaav ko dekha ,

    upper lips buri tarah injured ho gaya tha.

    Mohit ki aankho me aanshu tairne lage usne apni ungliya sandesh ke hoth par rakhi .

    Mohit ki aankho se aanshuo ki ladiya tutkar sandesh ke lips par girne lagi.

    Anjane me mohit ka dard sandesh pee gaya.

    Ek pal ko uske muh se aah nikali. Mohit ek pal ko hat gaya lekin fir sandesh chup ho gaya. Mohit ne aage band khidki ko khol diya. To chandni chitkkar sandesh ke chehre par pad rahi thi.

    Mohit ne sandesh ke sar ko halka sa uthakar apni thigh par rakh liya aur cotton ko lekar chehare par lage khoon ke daag ko saaf karne laga. Mohit aaj na jane kiss dunia me aa gaya tha.

    Agar ese me koi use dekh leta to yakeen nahi karta ki ye wahi mohit he jo apne hath se ek glaas pani bhi nahi leta.

    Mohit saari raat sandesh kar sar goad me rakhe betha raha.

    Raat kab gujar gai pata hi nahi chala.

    Subah ke 6 am ho gaye. Mohit dheere se khada hua uske man me na jane kya aaya.

    Usne sandesh ko dekha jo abhi bhi gahri neend me tha.

    Mohit sandesh ke chehre par jhuka.

    Usne apne narm narm hoth sandesh ke hotho par rakh diye.

    Sandesh ke hoth neend me khule hue the.

    Mohit ne sandesh ke lower lips ko apne rasile hotho se chumkar aur lal kar diya.

    Sandesh ne ekdam se aah bhari to mohit ekdam se alag ho gaya. Aur sochne laga ki ye usne kyu kiya.

    Vo apni car lekar ghar aa gaya.

    Vo seedhe nahane chala gaya.

    Bathtub me pada pada uske dimag me na jane kya kya khayal aate rahe.

    Is tarah 2 din gujar gaye.

    Sandesh ne fir se school join kar liya tha.

    Mohit bahut khush tha sandesh ke aane se.

part-2 )"

    Mohit ki jindgi ko ek raat ne sab kuch badalkar rakh diya tha.

    Baat baat par akadane wala mohit gussa karna to jese bhool gaya tha. Sabse pahle class me aata, har lecture ko dhyan se sunata aur khaskar biology me use bahut interest aane laga. Uski ek vajah sandesh hi the. Mohit sandesh ko impress karne ka koi mauka nahi chodta tha. Chahe subject ho ya games uska interest aur performance kafi improve ho gaya tha. Sandesh in sabse anjaan tha. Vickey, rj ne mohit ko maaf kar diya tha par mohit abhi tak sandesh se maafi mangne ki himmat nahi juta paya tha.

    Tab tak interschool badminton tournament shuru hone wala tha.

    Ek din himmat karke mohit sandesh se staff room me milne pahunch gaya. Uski halat esi ho rahi thi jese use koi exam dena tha aur usme fail hona pakka tha.

    Mohit bahut dhire se bola,

    ' sir,...........!"

    sandesh ne najar uthakar mohit ko dekha jo pasine se naha raha tha.

    '' yes, ....?"

    mohit ne kaha,

     
    '' sir, me is baar interschool badminton me participate karna chahta hu."

    sandesh ne kaha,

    '' to tumhe games incharge se milna chahiye"

    mohit ne najar jhukakar kaha ,

    '' sir agar aap mujhe kuch training de de to..............!"

    sandesh ne kaha,

    '' mohit tumhe kisi ne galat jagah bhej diya he....."

    mohit,' nahi me sahi jagah aaya hu, please mujhe mana mat kijiye. Mujhe aapke bare me sab pata he."

    sandesh ne sawaliya najar se mohit ki taraf dekha.

    Mohit ne dar ke mare aankhe band kar li thi. Sandesh mohit ke paas aaye aur bole,

     
    '' theek he, shaam ko 5 pm pe badminton court par milenge."

    mohit ko ek baar to apane kaano par bharosa nahi hua vo khushi se uchhal pada.

    Aur daudta hua room se nikal gaya.

    Sandesh kuch soch me pad gaya.

    Shaam ko sandesh jab court pe pahucha to usne dekha ki mohit vahaa pahle se unka intejaar kar raha tha.

    Sandesh ne mohit ke coach ki jimmedari utha li thi. Mohit already achcha khelta tha. Par sandesh ke shots ka koi jawaab uske paas nahi tha. Sandesh use har shots ki baarikiya samajhane lage.

    Agle din mohit jab vickey ke sath practice kar raha tha to

    Sandesh ne vickey ke ek shandar shot par kaha,

    '' vicky, good going!!!"

    sandesh ne baat normal way me kahi thi par mohit kuch uncomfartable ho gaya. Aur baaki ka saara game vo badi buri tarah haar gaya.

    Sandesh ne mohit ko dantate hue kaha,

    ' ese kheloge tum? Dhyan kaha tha tumhara."

    mohit kuch nahi bola. Lekin sandesh ko gussa aa gaya. Vo mohit ke paas aaya aur dubara se pucha to vo sar ko jhukakar khada ho gaya. Sandesh gusse me chale gaye. Agle din jab sandesh ground par aaye to mohit paseene se nahaya hua practice me laga hua tha. Sandesh chhupkar uske shots dekh rahe the. Aaj mohit ke shots me kuch alag hi baat thi. Har shot jaandar tha. Sandesh ko mohit ka character kuch samajh me nahi aa raha tha.

    Do din baad tournament tha . Sandesh ne mohit se kaha.

    '' kal rest karo, aur aaj tumhare shots kaafi achche the."

    mohit ne sandesh ki aankho me pahli baar jhankakar dekha.

    Sandesh ne apni najar fer li.

    Mohit bahut khush tha. Tournament me mohit ko pahle round me chot lag gai.

    Uska left knee me chot lag gai jisse uska khelna mushkil ho gaya. Usne sandesh sir ke chehre ki taraf dekha jo kaafi pareshan dikh rahe the. Mohit ne aage khelne ka faisla kiya to sandesh ne use roka aur kaha,

    ' mohit, tumhari haalat khelne laayak nahi he. Kyu jid kar rahe ho."

    mohit,

    ' sir please, mujhe khelne dijiye, ye trophy mujhe jitni hai."

    sandesh mohit ko chahkar bhi rok nahi paye.

    Mohit ke ghutne se khel ke dauran khoon bah raha tha. Par mohit par koi junun chhaya hua tha. Aur uske junun ne use jeet bhi de di.

     
    Sandesh ne daudkar mohit ko apne seene se lagaa liya.

    Mohit apna sara dard bhul gaya tha. Ye baanhe uske liye jannat se kam nahi thi. Sandesh ne kushi ke maare mohit ko chum liya. Mohit ko prize me ek trophy aur 51 thousand rupees ka cheque mila. Mohit prize ceremony ke baad jab jaane laga to sandesh ne use roka aur apne sath room me le gaye unhone first add box nikala aur mohit ko chair par bithakar uske pair me lage ghav ko apne hath se saaf kiya aur uspar anticeptic laga kar bandage bandh di.

     
    Sandesh ne mohit ki taraf najar uthakar dekha. Uske chehre par sukun chaya hua tha.

    Sandesh, ' mohit, is trophy me esa kya tha jo tum itni chot ke baad bhi khelne ko taiyar the?"

    mohit ne najar neeche ki taraf karte hue kaha,' me aapko upset nahi dekh sakta aur dusri vajah.................chodiye sir."

    sandesh ko mohit ki baate kuch ajeeb lagi aur samajh me nahi aai.

    Uske baad mohit apni car me ghar chala gaya.

    Agle din sandesh ko usi doctor ka call aaya jo uski sister ka treatment kar raha tha.

    ' sandeshji, aap apni sister ko lekar kal therepy ke liye subah 10 am par aa jaiyega. "

    sandesh ne udaas hokar kaha,

    '' sorry, dr. Me abhi paiso ka intejaam nahi kar paya hu."

    dr. ' aapke paise to aaj deposite ho gaye he. Aap kal aa jaiyega."

    sandesh soch me pad gaya. Use kuch samajh nahi aaya.

    Jab vo next day hospital pahucha to vaha ke staff ne bataya ki ek ladka paise jama kar gaya he. Jab sandesh ne uske baare me puchha ki vo kaun tha. To ek nurse ne bataya ki vo ladka langdakar chal raha tha.

    Sandesh ke dil me current sa daud gaya. Vo sister ko admit karwakar seedhe mohit ke ghar pahucha. Mohit ghar par hi tha.

    Sandesh gusse me bhanbhanata hua mohit ke kamre me aa gaya. Mohit t.v. Dekh rahaa tha.

     
    Sandesh ne t.v. Band kar diya. Uska chehara gusse se lal ho raha tha.

    ' tumne rupaye kyu diye"

    mohit sandesh ka gussa dekh kar dar gaya. Fir vo apne bed se khada ho gaya. Sandesh ne mohit ko baanho me bheench kar puchcha.

    ' me kuch puchh raha hu mohit."

    mohit ne apni aawaj ko kafi sambhalte hue kaha.

     
    ' me aapko pareshan aur dukhi nahi de sakta, mene aapki aur didi ki saari baat sun li thi. Mujhe pata tha ki aapko therepy ke liye rupayo ki jarurat he to mene apne tournament ka prize money de diya. "

     
    sandesh,' me abhi jinda hu . Apni bahan ka treatment karwa sakta hu. Mujhe kisi ki help nahi chahiye samajhe tum. Abhi bachche ho bachche hi raho bade banane ki koshish mat karna."

     
    mohit ki aankho me aanshu aa gaye. Use samajh nahi aa raha tha ki usse esi kya galti ho gai.

    Vo chupchaap khada sandesh ki daat khata raha.

    Jab sandesh ka gussa shant ho gaya. To usne dekha ki mohit ro raha he. Use laga ki vo kuch jyada bol gaya. Sandesh ne aage badkar mohit ke kandhe par hath rakha to mohit piche hat gaya.

    Mohit,' rahne dijiye sir, mujhe aapki hamdardi nahi chahiye, me hi paagal tha jo aapke liye itna dard jhelkar ye prize jeeta. Mujhe laga me aapke kisi kaam aa saka to meri us galti ka praayschit ho jayega. Par mene aapko hurt kar diya. Me kisi ki dosti aur pyar ke laayak nahi. "

     
    ye kahte hue mohit ne apna hath glass table par de mara jisse table ke tukde ho gaye aur ek kanch ka bada tukda uski hatheli ke aar par nikal gaya. Ye sab kuch itna achanak hua ki sandesh kuch kar nahi paya. Mohit ke hath se khoon ka favvara chhut gaya. Sanesh ne aage badkar mohit ko sambhalne ki koshish ki par vo to gusse aur pagalpan me sandesh se bhi aage tha usne sandesh ko dhakel diya. Aur chikhte hue bola,

    '' agar mujhe apna nahi maante ho, to mere dard ko baatne ka bhi aapko koi hak nahi , mujhe akela chod dijiye."

     
    sandesh ne aage badkar jabardasti mohit ko baanho me bhar liya. Mohit dard ke kaaran kamjor pad gaya tha fir bhi vo sandesh ko dhakelne ki koshish kar raha tha. Par is vakt sandesh ki pakad majbut thi. Kuch der me mohit behosh ho gaya.

    Sandesh use lekar hospital bhaga aur use admit karwaya. Ye sab kuch itni hadbadi me hua ki sandesh soch me pad gaya. Udhar mohit ka treatment chalta raha aur idhar sandesh pareshan sa tahalta raha.

    Kareeb ek ghante baad dr. Ne baahar aakar kaha ,

    ' mohit theek he, bas injury jyada thi to theek hone me kareeb 15 din lag jayenge.

    Tab tak injured hand ko rest de."

     
    sandesh jab andar pahucha to mohit leta hua tha. Sandesh ko dekhkar usne najar dusri taraf fer li. Sandesh uske paas aakar beth gaya.

    Kuch ajeeb sa sannata chaya hua tha. Sandesh ne mohit ke chehre ko apni taraf kiya aur bola,

    '' mohit, tum kya chahte ho...........?"

     
    mohit,' vahi, jo aap mujhe dena nahi chahte....."

     
    sandesh,' tum abhi bachche ho........."

     
    mohit,' mujhe saaf saaf kah dijiye ki aap mujhe kabhi accept nahi karenge ."

     
    Sandesh ne gusse me mohit ke chehre ko apni hatheli me kas liya aur apne pyase hoth, mohit ke hotho par rakh diye. Aur usko kiss karne laga.

    Mohit ki aankhe khushi se fati ki fati rah gai. Sandesh ka chehra itna kareeb pakar mohit ne ek hath se uska sar pakad kar smooching start kar di. Sandesh ne aankhe band kar li. Mohit ne uske pure chehre ko chumkar rangeen kar diya. Usne sandesh ke kaan par ek pyara bite kiya. Aur dhire se bola,

    '' hame pyar ho gaya he aapse, kab se himmat kar raha tha aap se ijhaar karne ki lekin kabhi kah nahi paya. Aap nahi milte to shayad me barbad ho jata. Aap mera pyar, mere ideal, mere guru, sab kuch ho."

    sandesh ne aankhe kholkar mohit ka chehara dekha aur pyar se uski nose ko kiss kiya aur kaha,

     
    ' mohit, mene tumhare pyar se bhagne ki bahut koshish ki lekin tune apane pyar ki dor me mujhe baandh hi liya."

     
    mohit,' ab me aapko kabhi dur nahi jane dunga. Agar mujhe kabhi chodkar aap gaye to me tut jaunga aur shayad........."

     
    sandesh ne uske hotho par hath rakhte hue kaha,

    ' chup bilkul chup, bahut bak bak karta he tu. Me apne mohit ke bina mar jaunga.....

    Mohit mujhse ek vaada karoge."

     
    mohit,' kya?"

     
    sandesh ,' tum kabhi dad ko kisi baat ke liye na nahi karoge, ek kaamyab insaan bankar dikhaoge."

     
    mohit,' aapki kasam, me ye vaada jindgibhar nahi todunga."

     
    sandesh ne mohit ko ek baar fir chum liya aur kaha,

    '' me abhi laut kar aata hu, mera intejaar karna."

    itna kahkar sandesh vaha se chala gaya.

    Kuch der me mohit ke dad andar aa gaye.

    Mohit,' dad aap!!!!"

    dad,' mohit ye sab kese......????"

     
    mohit,' no dad, i m ok."

    dad," ha dekh raha hu sandesh ne tumhe sambhal liya he."

     
    mohit,' dad, sir bahut achche he."

    un dono me kafi der tak baate hoti rahi. Dad kareeb 2 ghante baad mohit ko ghar le aaye.

    Mohit ko sandesh ki yaad aa rahi thi.

    Lekin vo thaka hone ki wajah se so gaya. Dusre din usne subah subah sandesh ko call kiya par no. Switched off bata raha tha. Usne ise normally liya. Par jab sham ko bhi no. Nahi laga to use ghabrahat hone lagi. Use dar lag raha tha.

part- 3 )"

Mohit ke dil me bure bure khayal aa rahe the usne sandesh ke ghar jane ka faisla kiya. Uske hath me kafi injuri hone ke baawjood usne car nikali aur drive karta hua sandesh ke ghar chal diya uske hath se khoon fir se risne laga aur dard se mohit ki aah nikal gai lekin uske andar dar jyada chha raha tha. Jese hi uski car sandesh ke ghar ke saamne ruki.

Vo daudkar andar aaya lekin jese hi uski najar darwaje par padi uska dil dhak sa karke rah gaya.

Door par ek bada sa lock laga hua tha.

Mohit ki aankho ke aage jese koi andhera sa cha raha tha. Uske dil ne kaha ,

''nahi , sandesh sir yahi kahi honge mujhe intejaar karna chahiye"

mohit wahi sidiyo par beth gaya. Mohit ki bethe bethe aankh lag gai. Usne sapne me dekha ki koi sandesh ko usse dur le ja raha he aur mohit kuch bhi nahi kar paa raha he. Vo insaan ek bada sa nakaab ode hue tha. Mohit chikh raha tha tabhi mohit ki neend khul gai. Ghadi me dekha to raat ke do baj chuke the. Use waha kaafi wakt ho chuka tha. Usko rah rahkar bahut bure bure khayal aa rahe the. Uski aankhe judai ke dar se bheegne lagi thi. Charo taraf ki shanti mohit ke dard ko aur bada rahi thi. Ab usse sabr nahi hua aur usne darwaje ko joro se dhakke marna shuru kar diya . Uske majbut jism ke presure ko door jhel nahi paya aur tut gaya. Mohit dandanata hua andar aa gaya. Ghar ke andar ka maajra dekhkar uska shak yakeen me badal gaya. Ghar ka sara saaman gayab tha. Matlab sandesh ne ye ghar chod diya tha. Mohit ke darwaja todne ki aawaj se pados ke log aa gaye. Unhe laga koi chor he. Mohit ne unhe dekhte hi puchha,

 
'' yahaa par sandesh sir raha karte the, vo kaha chale gaye?

Kab gaye?

Kuch pata he aap logo ko?"

mohit ne sawalo ki ek sath bauchar kar di .

Un logo me se ek bujurg bole,

 
'' beta, vo to kal raat ko hi ghar chhodkar apni behan ke sath jane kahaa chale gaye."

 
mohit dard se chikh pada . Vo ladkhada gaya uska sar ghumne laga. Dil ne kaha ,

'' sir mere sath esa nahi kar sakte !!!!!!

 
Mohit vahi farsh par gir pada. Kuch logo ne use sahara dekar uthaya.

 
Mohit buri tarah ro raha tha. Logo ko kuch samajh nahi aa raha tha.

Ek padosi ne kaha,

'' beta, kuch bataoge aakhir hua kya?

Jab sandeshji ja rahe the to vo bhi ro rahe the."

mohit ne lapakkar us padosi ko dono hatho se pakad liya aur kaha,

'' mere baare me kuch kaha unhone???

Koi msg chhoda?"

padosi, '' nahi beta par baat kya he?"

 
mohit, '' nahi thik se yaad karo kuch to mere liye msg choda hoga?????."

padosi, 'nahi beta koi msg nahi chhoda"

 
mohit deewar ke sahare tik gaya aur sab logo ko ajeeb najaro se dekhne laga, uske andar ka gussa laawa bankar phoot pada. Vo puri takat ke sath chikhte hue bola,

 
'' sandesh sir !!!!!!!!

Aap mujhe ese chhodkar nahi ja sakte ????,

aap sun rahe he,

aapka mohit aapko bula raha hai,

please mera imtihaan mat lijiye,

me mar jaunga....!!!!!!"

 
mohit ka junun aur uski haalat dekhkar waha ke logo ko dar sa lagne laga. Un padosiyo me se koi mohit ke dad ko janta tha usne unhe phone kar diya. Kuch hi der me ranjeet singh vaha aa gaye,

dad ko dekhte hi mohit unse lipat gaya,

'' dad..........,

dad.........,"

mohit rote hue hichkiya lete hue bola.

 
Dad,'' ha beta kya hua???

Bol...................."

 
mohit, ' dad.......

' sandesh sir chale gaye..............."

mohit ka rona aur tej ho gaya.

Ranjeet singh ne dekha ki aas paas ke log unhe ajeeb najro se dekh rahe he, unho ne mohit ke aanshu ponchhte hue kaha,

 
'' beta, me hu na.........

Tu ghar chal me sandesh ko dundkar launga. Par tu ghar chal."

mohit ne dad ki aankho me dekha to dad ne apni gardan haa me hilate hue kaha ,

'' mujh par bharosa rakh beta."

mohit apne dad ke gale se lipat gaya. Ranjeet singh use gaadi me bithakr ghar le aaye.

Unhe lagaa mohit ek do din rokar theek ho jayega lekin...........

Mohit ne school jana chhod diya vo har roj apni gaadi lekar sandesh ko dundne nikal jata, har gali , har colony har market shayad hi koi jagah chhodi usne,

shaam ko ek baar sandesh ke ghar par jarur jata.

Waha latka hua lock use har roj niraash kar deta lekin uska pyar himmat kiye betha tha aur shayad vo isi ummeed par jinda tha

 
Mohit ki ummeed din pe din kamjor hoti ja rahi thi.

Uski haalat bad se badtar hone lagi.

Ro rokar aankho ke neech gadde pad gaye, jism judai ki aag me jal kar bahut kamjor honelaga.

Har insaan se use nafrat hone lagi. Dhire dhire uske jism me chalne firne ki taakat bhi nahi rahi. Uski teji se bigadti haalat ne ranjeet singh ko bahut daraa diya. Koi bhi doctor use theek nahi kar paa raha tha. Ek din une ek ristedar ne unhe dr. NIZAN ke baare me bataya. Jo kuch din pahle hi apni padai karke U.S.A. se laute the. Nizan ek 25 saal ka jawan psychiatrist tha. Ranjeet singh ne nizan ko ghar par bulaya. Nizan ka kad koi 5' 7"

tha, rang wheatish aur average body. Lekin bade hasmukh swabhav ka ladka tha.

Usne mohit se akele me kareeb 2 ghante baat ki aur bahar aa gaya. Ranjeet singh hall me nizan ka wait kar rahe the.

Nizan sofa par bethta hua bola,

 
'' dekhiye sisodiyaji , agar aap sach me chahte he ki mohit theek ho jaye to mujhe mohit ki jindgi ka pura sach sunana he."

 
ranjeet singh kisi haare hue insaan ki tarah thaki hui aawaj me bole ,

'' theek he, me sab bataunga lekin tumhe mujhse vaada karna hoga ki ye baat hamare hi beech rahegi ."

 
Nizan, '' ham aapse vaada karte he"

 
ranjeet singh ne mohit ke bachpan se lekar abhi tak ka saara haal bayaan karna shuru kar diya,

aur unhone sandesh aur mohit ka sach bayan karte hue kaha,

 
'' mene sandesh aur mohit ko us condition me dekha jiske baare me koi soch bhi nahi sakta. Us do take ke master ko mene apna mohit isliye saupa tha ki vo use ek achcha insaan bana de. Lekin usne jaane mere ladke par kaun sa tona kar diya he, mera phool sa bachcha aaj jis haalat me he uska jimmedar wahi he,

isliye mene use school se aur mohit ki jindgi se bahar fenk diya."

ranjeet singh ke chehre par gussa aur bebasi ek sath dikh rahi thi.

 
Nizan ne kafi serious hokar is kahani ko suna tha vo isme dub gaya tha. Kuch der me khud ko sambhalte hue bahut serious hokar kaha,

 
'' achcha to ye gay love ka mamla he...........!!!

Theek he me aaj se hi apna treatment shuru kar deta hu.

 
Nizan ne mohit ke baare me kafi research kiya uske school , uske dosto , ghar ke naukaro se bahut kuch jankari ikttha kar li thi.

Nizan roj subah uske breakfast se lekar uske dinner tak uske sath hi rahta tha. Par mohit ke liye nizan ke hone ya na hone ka koi matlab nahi tha vo to apni dunia me hi khoya rahta tha. Nizan ne uska dhyan baatne ki bahut koshish ki magar sab bekar, nizan ko ek mahina ho gaya tha par mohit ki haalat me koi sudhar nahi tha.

Nizan ne sisodiyaji se kaha,

 
'' aapne khud apne ladke ki jindgi barbad kar di, uspar kisi treatment ko koi asar nahi hoga. Me ek aakhiri koshish karne ja rahaa hu agar asar hua to theek varna me kuch nahi kar paunga."

 
ranjeet singh, '' esa mat kaho, mene jo kiya mohit ki bhalai ke liye kiya. Please kuch karo."

nizan vaha se ghar aa gaya. Mohit ka case uski samajh se bahar ja raha tha. Fir usne ek tarkeeb dund nikali.

Dusre din jab nizan mohit ko bahar garden me ghuma raha tha tabhi postman aaya,

 
'' ji , mohitji ke naam se registry aai he "

 
nizan ne postman se vo lekar sign kar diye aur mohit ke saamne use kholne laga,

mohit ko is sab se koi matlab nahi tha.

 
Nizan ne usko khola to usme ek khat tha mohit ke naam se .

Nizan ne kaha,

 
'' mohit, ye kisi sandesh ne bheja he. Tum jante ho kya????"

 
sandesh ka naam sunte hi mohit chair se uth khada hua usne nizan ke hath se khat chheen liya aur ek hi saans me pura khat pad dala. Khat kuch u tha.

 
'' mere mohit,

mujhe maaf karna me tumhe bina bataye chala aaya,

sister ki condition serious hone ki wajah se mujhe ilaaj ke liye aana pada,

lekin tu mera bahadur mohit he, me bahut jald aaunga tab tak apni study aur apni health ka dhyan rakhna . Nahi to me naraj ho jaunga.

 
...........sirf tumhara

................SANDESH."

 
mohit khushi se jhoom utha usne nizan ko gale se laga liya vo khushi se paagal hua ja raha tha ,

 
'' dr. Jaante he kiska khat he mere sandesh sir ka vo mujhe bhule nahi he, mene kaha tha na ki vo mujhe bhul nahi sakte par koi manane ko taiyar nahi tha. Par ye khat me sab ko dikhaunga.

Mohit khusi se daudta hua dad ke paas pahucha ,

 
'' dad, sandesh sir ka khat aaya he......"

mohit ye bhul gaya tha ki vo bahut kamjor ho gaya tha itna daudne ke karan use chakkar aane lage uske dad ne use jhapatkar sambhal liya. Aaj kareeb 3 mahine baad mohit itna khush tha. Ranjeet singh ne use bed par lita diya aur sidhe nizan ke paas pahuch gaye,

 
'' doctor, ye sab kya he?"

nizan, '' sisodiyaji kisi ki jaan bachane ke liye agar jhooth bolna pade to ye koi paap nahi. Aapne dekha mohit ka chehra kai mahine ho gaye use muskuraye huye, aaj lag raha he ki use kuch hua hi nahi,

 
pyar ke rog ko koi illaj nahi sisodiyaji , pyar to sirf pyar chahta he,"

 
ranjeet singh, '' lekin doctor aapne socha he jab usse iss jhooth ka pata chalega to kya hoga"

 
nizan, '' mere liye is vakt mohit ki jindgi se jyada jaruri kuch bhi nahi..............."

 
ranjeet singh ke paas nizan ki kisi baat ka koi jawaab nahi tha. Unhe bhi lagne laga ki abhi mohit ke liye shayad yahi theek rahega.

 
Udhar mohit apne bed par pada hua us khat ko baar baar pad raha tha. Har baar uski khushi badti ja rahi thi.

Usne khat ko kai baar chumaa. Man hi man uske andar wahi khwaab jaagne lage jo sandesh ke jaane se murjha gaye the.

 
Usne khat ko dekhte hue kaha,

'' mujhe pata tha aap apne mohit ko bhul nahi sakte, aap bhi mujhe pyar karte he,

hai naa..............."

 
'' ham to ek pal ko dar hi gaye the, par ab bharosha ho gaya ki aap lautkar aayenge,

 
aayenge naa.............."

part - 4 )"

Mohit ke liye sandesh uski sabse badi kamjori aur sabse badi taakat ban chuka tha. Ye ahsaas mohit ke dad aur dr. Nijan ko ho chuka tha.

Mohit ne us letter ko gaur se dekha uspar par delhi ka address dalaa hua tha. Vo bahut khush tha. Nijan uski sudharti hui sehat dekhkar kaafi khush the. Sath hi dar bhi rahe the ki aage kya hoga.???

Mohit ne school jana fir se shuru kar diya, mohit me kaafi badlaav aa chuka tha uske andar koi tha jo uski inspiration ban chuka tha. Uska lifestyle kaafi badal chuka tha. Dosto ke sath masti karne wala ladka saara wakt study aur games me dene laga . Uska performance din par din behtar hone laga tha.

Ek din lunchtime me saare friend - Rj, vickey , simran bethe hue the.

Vicky ne mohit se puchha,

'' mohit yaar kya ho gaya he tujhe,

i can't believe ki tu vo hi mohit he jo classes bunk karta tha, din bhar canteen me masti karta tha aur girls ko tang karta rahta tha.

Ye sab kamaal kese hua ?"

mohit , '' guys i don't knw why it is happening in my life par mujhe lagta he ki mujhe kisi ke liye apne aapko ko is tarah taiyar karna he ki use mujhpar garv ho."

Rj ,'' mohitji aapki baate hamare sir ke uper se ja rahi he kripa karke kuch achcha order karo bahut bhuk lagi he."

 
mohit hasta hua bola,

'' ha yaar aajkal me kya kya bakta rahta hu mujhe bhi ajeeb lagta he."

 
vickey ne mohit ke chehre ko gaur se dekha aur kuch sochta hua bola,

'' mohit mujhe kuch kuch samajh me aa raha he par jo bhi he achcha he mujhe bahut achcha lag raha he tumhara ye roop dekhkar."

mohit ko ekdam se dar beth gaya ki kahi vickey ne uske man ki baat pad to nahi li.??"

 
is tarah vakt gujarne laga . Board ke exam najdik aa chuke the. Mohit ki bhukh pyas bhi mar chuki thi din raat padai me betha rehta tha. Par dil me ek ajeeb si becheni use pareshan kar rahi thi. Nijan uske routine check up ke liye aate rahte the. Unhone mohit ke andar chal rahi halchal ko mahsus kar liya. Unhone mohit ke paas jakar usse puchha ,

'' mohit kya hua ?

Kuch pareshan lag rahe ho?"

 
Mohit window se baahar aasman me tairate hue taaro ko dekhte hue bola,

'' Dr. Kya ye taare kabhi hamare paas aa sakte he ??"

nijan , '' nahi . Kyun ??"

mohit, '' shukr he Sandesh sir taara nahi he.......!!!"

nijan ,'' mohit ek baat puchu as a friend ? "

mohit, '' puchhiye "

nijaan ,'' kya tum sandesh se pyar karte ho ?"

mohit ,'' haa, bahut shayad khud se bhi jyada. "

nijan , '' mohit to pareshani kya he ?"

 
mohit ne nijan ki taraf chehra karte hue puchha,

'' sandesh sir aayenge na .........!"

nijan ne mohit ki aankho me pyar ke sagar ko machalate dekha to vo soch me pad gaya ki itni chhoti umr me itna gaharaa pyar. Itni samajh .

Fir sambhalate hue kaha,

'' mohit vo jarur aayenge........ Dekh lena."

mohit daudkar nijan se lipat gaya. Aur bola,

'' ha mujhe bhi yakeen he....!"

nijan ke andar dar gahra hota ja raha tha par vo chup tha.

 
Kuchh din me Exam ho gaye. Mohit kafi relaxed tha. Uske paper bahut achche gaye the. Aur jab exam ke result aaye to sab ki aankhe fati ki fati rah gayi. Mohit ne pure class me top kiya. Uske frnds, teachers, dad sab khush the aur use badhai de rahe the. Lekin mohit ko to kisi ka intejaar tha. Uska man ab sekado sawaal kar raha tha.

Sandesh sir ko gaye 7 month ho gaye the. Use lagane laga ki kuch galat ho raha he.

 
Ranjeet singh ne mohit ko higher studies ke liye u.k. Bhejne ka faisla kar liya tha. Jab ye baat mohit ko pata chali to usne saaf mana kar diya , haarkar nijan ko fir sandesh ke naam ka sahara lena pada. Sandesh ke naam se dusra khat nijan ne mohit ke liye bhej diya.

Mohit to us khat ko paakar betahasaa khush ho gaya, khat kuch u tha,

 
'' mere mohit,

tumhare result ka pata chala . Me aaj garv se kah sakta hu ki mohit mera he.

Tum apne dad ki baat maante ho na........

Dekho jab me lautu to mujhe koi shikayat nahi milni chahiye, me sister ke treatment ko lekar busy hu. Jald milunga.

Tab tak mera pyar tere sath rahega.

 
......sirf tumhara

...........sandesh

Mohit ne us khat ko upar se niche tak kai baar pada , esa laga ki sandesh sir uske saamne bethkar usse baate kar rahe he. Uski aankhe pyar se bheeg gai.

Nijan darwaje ki aut me chhipkar gay love ki sachchai ko itni kareeb se dekh rahe the. Unke andar is pyar ke liye ek respect aa gai thi. Unki aankhe bhi nam ho gai.

Udhar mohit ne u.k. Jaane ke liye haa kar di. Uske jaane se ek din pahle uska frnd vickey usse milne aaya. Dono mohit ke kamre me beth gaye,

vickey ne kaha,

'' yaar tu jaa raha he, teri bahut yaad aayegi ."

mohit, '' are me kahi dur thode ja raha hu ham roj phone pe baat karenge , net par chat karenge, me tujhe ese akela nahi chhodunga.

By the way tu ab kaha study karega."

 
vickey ,'' haa yaar, ab to tu bahut samajhdar ho gaya he na, vese me delhi ja raha hu study ke liye."

mohit delhi ka naam sunkar khush ho gaya fir agle hi pal udas ho gaya.

Vickey ,'' mohit baat kya he, tu kuch chhupa raha he mujhse, koi baat he jo tujhe khaye ja rahi he, agar tu mujhe bataa sake to shayad me kuch kar pau tere liye."

mohit ko vickey ki baat se kuch himmat bandhi usne darte hue kaha,

'' mera ek kaam karega?"

vickey ,'' kya ?"

mohit ne vickey ka hath pakadte hue kaha,

'' vickey , sandesh sir delhi me he, tu unke baare me mujhe kuch information collect karke dega , vo kaha rahte he, kese he?"

 
vickey ne mohit ke hath par apna hath rakhte hue kaha,

'' mujhepar bharosha rakh me puri koshish karunga, par tujhe kese pata ki vo... Delhi me he."

mohit muskurakar rah gaya.

Vickey ne uske gaal par ek chikoti kaatate hue kaha,

'' o ho , mohitji aap to sharmana bhi sikh gaye, bhai ye to galat baat he sir ne theek nahi kiya"

mohit,'' kya theek nahi kiya."

vickey muskurate hue bola,

'' yahi ki sir to vo sabke the par tujhe jaane esa kya sikha gaye jo tu itna achcha ho gaya aur ham vahi rah gaye........."

dono dost gale lag gaye.

Dusre din mohit u.k. Chala gaya. Ranjeet singh kaafi khush the.

Kehte he na vakt pankh lagakar ud jata he kuch esa hi hua. Vakt teji se gujarane laga.

Dekhte dekhte 5 saal gujar gaye.

5 saalo ne kitna kuch badal diya.

mohit 5 saal baad india lauta to delhi airport se seedhe vickey ke paas pahuch. Vickey ne IPS ka exam clear kar liya tha aur use delhi me hi posting mil gai thi. Mohit ne M.B.A kar liya tha . Use apne dad ka business sambhalna tha. Vicky use dekhte hi usse lipat gaya.

Mohit ne kaha, '' vickey, mujhe sandesh sir se milna he."

vickey,'' oye na haal puchha, na koi baat ki aate hi sandesh sir .........."

mohit,'' tu nahi janata mene ye 5 saal kese kaate he. ?"

vickey ,'' pata he majnu ki aulaad chal pahle fresh ho ja fir chalenge."

mohit fatafat taiyaar ho gaya aur vo dono police ki gaadi lekar seedhe J. N. U. Campus me pahuch gaye.

Mohit,'' vickey , sir to class me honge na."

 
vickey,'' nahi vo abhi community hall me he, annual function ki preparation chal rahi he."

vickey aur mohit dono hall me pahuche to pure hall me andhera tha, stage par koi performance ki practice chal rahi thi. Sandesh students ko kuch samajha rahe the, tabhi vickey ne aage badkar unke paav chhu liye.

 
Vickey,'' sir, me vickey aap ka student gwalior me.... Yaad aaya sir.."

sandesh ne use ek najar me pahchan liya. Unhone vickey ko gale lagate hue kaha,

'' vickey tum hamesha se bright student the achcha laga tumhe A.C.P. ki uniform me dekhkar."

 
vickey,'' sir koi aur bhi aaya he aapse milne...."

sandesh ne puchha, '' kaun ?''

vickey ek taraf ko hat gaya uske pichhe mohit khada tha,

sandesh mohit ko dekhkar ekdam chaunk gaye. Esa laga ki vakt ki aandhi fir se gwalior me le gai.

== flashback==

ranjeet singh sandesh ke ghar aate he. Kaafi gusse me he.

Sandesh unhe dekhkar,

'' aaiye sir aap yahaa???"

 
ranjeet singh,'' tum gandi naali ke keede ho , mene apna beta tujhe saupa tha ki use achcha insaan bana dena, par tune use upne gande pyar ke naatak me uljha diya, mohit ko tum us taraf le ja rahe ho jaha use samaj me badnami ke siva kuch nahi milega, agar jara bhi sharam baaki he to uski Zindgi se chale jao aur kabhi lautkar mat aana,

tum teacher ke naam par kalank ho."

ranjeet singh ek saans me bol gaye

Mohit ki aawaj se sandesh purani yaado se baahar aaye,

mohit kah raha tha,'' sir , me aapka mohit....."

sandesh ne apne dil ko paththar ka karte hue kaha,

'' sorry mene pahchana nahi, itne saare students ko padaya he to kuch yaad nahi rahta,

par tumse milkar khush hui, tum log chaho to play dekh sakte ho

ab mujhe mera kaam karna he . Chalta hu , vickey milte rahna "

 
sandesh sir ka esa roop dekhkar mohit se jyada vickey hairan tha. Use to mohit ne jo kuch bataya tha. Esa kuch sandesh sir ki baato se laga nahi. Vickey ne mohit ki taraf dekha to laga ki jese kisi ne uske seene me talwar ghonp di ho. Uska dimag sunn ho gaya tha.

Vickey ne use sambhala aur dono ghar aa gaye,

mohit ne apne aapko kamre me band kar liya tha. Vickey ne socha mohit ko is vakt akela chhod dena hi theek rahega. Tabhi use office kisi urgent work se jana pada, uske jaane ke baad mohit ne dr. Nijaan ko phone kiya.

 
Nijan,'' mohit ...., mohit.....???"

mohit rote hue bola, '' aapne mere sath esa kyu kiya??"

 
nijan ko samajh me aa gaya ki mohit ko sach pata chal gaya,

nijan ne baat ko sambhalte hue kaha,

 
'' mohit, mene jo kuch kiya tumhare liye kiya.........bye the way tum delhi aa gaye kya?''

mohit ne phone kaat diya aur mob. Ko bed par patak diya.

 
Usne baahar aakar taxi li aur seedhe J.N. U campus me bane community hall me pahuch gaya,

shaam ka vakt hone ke karan students ja chuke the, sandesh stage par ek chair par bethe hue play ki script pad rahe the. Mohit dandanata hua unke paas pahuch gaya . Sandesh use vaapas dekhkar chaunkte hue bole,

'' tum....................."

 
mohit ne apne majbut hatho se sandesh ko pakdte hue gusse me kaha,

'' meri aankho me dekhkar kahiye ki aap mujhe apne mohit ko nahi pahchante......"

 
sandesh ne uske hath ko jhidkate hue ek sath 3- 4 jhaapad mohit ke gaal par rashid kar diye."

aur gusse me bole,

'' apni limit me raho mohit.....

Paisewalo me kabhi tamij nahi aa sakti vo to sirf chheenana jante he.......

Chale jao yaha se , me tumhari surat nahi dekhana chahta."

Mohit ne aanshuo me bheegte hue kaha,

 
'' bhagwan ka lakh lakh shukr he ki me aapke jahan me hu, chaahe nafarat bankar hi sahi. aap apne mohit ko bhule nahi...........

Bahut dino se sochata rahata tha ki jab aapse milunga to ye karunga vo karunga. Par ek cheej to bhul hi gaya."

 
Mohit ne apane bag se kuch nikala, ek bahut bada album tha. Use Sandesh ke pairo par rakhte hue bola,

mene apne jindgi ka har rang isme bhara tha. Socha tha ki jab aapse milunga to aapke sath bethkar dekhunga. Par............

 
Mujhse esi kya galti hui me nahi puchhunga, na hi ye kahunga ki me kitna chahta hu aapko......

Mene hamesha aapka faisla mana he aur hamesh manunga. Aap mere guru, mere dost , mere pyar , mere ideal sab kuch he.

Aap meri jindgi me na aate to ye mohit aaj jaane kin aawara galiyo me bhatak raha hota.....

Me aaj ke baad ye shakal aapko nahi dikhaunga.

Me hamesh aapse pyar karta raha aur hamesha karta rahunga.

Me chalta hu sir......"

 
itna kahkar mohit ne sandesh sir ke pair chhue aur aankho se aanshu ponchata hua vaha se chala gaya.

 
Sandesh ne us album ko uthakar waha ek almari me patak diya. Aur vo bhi chale gaye. Fir kuch sochkar vapas laute aur us album ko uthakar ghar le aaye.

Mann ne kaha ek baar dekh lene me kya harj he.

 
Sandesh ne album ko uthakar khola,

pahle page par sandesh ka ek pic laga tha jiske neeche likha tha,

mere bhagwan

Sandesh ne album ke ek ek karke page palatna shuru kiya har photo ke neech note me likha hota tha ki mohit ka vo photo kaha par aur kab liya tha. Har photo ke neeche likha hota tha.

'' I LOVE U Sandesh sir"

sandesh ko laga ki kuch gadbad he usne album ko light ke paas laakar dekha to uski dhadkane ruk gai,

darasal mohit ne vo sab apne khoon se likha tha.

Sandesh ki aankho se aanshuo ki jhadi lag gai. Uska pyar aankho se bahane lagaa.

Idhar vickey jab office se lauta to pata chala ki mohit vaapas u.k. Jana chahta he. Vo mohit ko dundta hua terrace par chala gaya. Mohit aasman ki taraf dekh raha tha. Vickey uski bagal me jaakar beth gaya,

vickey bola, '' mohit, tu waapas u.k. Ja raha he........?????"

 
mohit kuch der baad bola, '' haa....."

vickey , '' par kyun, aaj to tu lauta he . Ab kyu ja raha he"

mohit ne taaro ki taraf dekhte hue kaha,

 
'' vickey , pata he tujhe . Sandesh sir mere liye ek taara ban chuke he jiske paas me chahkar bhi nahi ja sakta, unke milne ki umeed me itne saal gujaar diye har pal man karta tha ki udkar india pahuch jau apne sir ke paas aur jab lauta to pata chala ki jis insaan ko me paane ke sapne dekha karta tha vo to apni jindgi se mujhe kab ka nikaal chukaa he.

Ab yahaa rukane ki koi wajah nahi rahi yaha rukunga to shayad paagal ho jaunga."

 
vickey mohit ke kandhe par hath rajhte hue kaha , " mohit, is tarah haar mankar mat jao......."

 
mohit,'' vickey pyar koi jang nahi hoti .."

 
vickey, '' hoti he bilkul hoti he, jab aapko pata ho ki aapse achcha jeeavnsathi use nahi mil sakta to use ye mahsus karwana jaruri ho jata he ki aap hi uske liye sahi he.......... Bas"

 
mohit, '' vickey, pyar jabardasti nahi karwaya jata vo to hota he ya nahi hota"

 
vickey gusse me khada ho gaya aur bola, '' me kuch nahi janta , bas me tujhe esi haalat me nahi dekh sakta....."

ye kahkar vickey apne kamre me chala gaya,

udhar nijan ne vickey ke ghar se vickey ka no. Lekar vickey se baat ki to vickey ne unhe bata diya ki mohit waapas u.k. Ja raha he.

 
Nijan ne vickey se kaha ki kese bhi karke mohit ko do din ke liye rok le. Vo ranjeet singh ko lekar delhi aa raha he.

Vickey ne khud ke bimar hone ka natak kiya aur hospital me admit ho gaya jis wajah se mohit ko rukna pada.

Idhar nijan ne ranjeet singh ko sab kuch bata diya,

'' dekhiye auncle mene aur aapne sab karke dekh liya par mere paas aapke bete ke marj ka koi ilaaj nahi he, aur ab vo 17 saal ka pahlewala mohit nahi raha jise hamne khato ke sahaare bahalaa diya tha, ab aap ko faisala karna padega ki kya kiya jaye........"

 
ranjeet singh ko ekdam se heart attack aa gaya aur hospital le jate vakt unhone nijan se kaha,

 
'' tum vo karna jo sahi ho, jisme mere mohit ki bhalai ho...."

nijan ko delhi akele jana pada, vaha vickey ko unhone letter wali kahani suna di. Sab kuch jaanane ke baad vickey ne kaha,

'' dr. Sahab mujhe lagta he aap sandesh sir se akele mile to shayad theek rahega,

nijan andar se bahut ghabra rahe the par milna to tha isliye vo akele hi sandesh ke ghar pahuch gaye,

sandesh ke unhe andar bethate hue puchha,

'' aap.......???"

nijan badi hi gambheer aawaj me bole,

'' sandeshji aap mujhe nahi jante me ek dr. Hu mohit ka case mere paas hi he."

 
sandesh ne chonkte hue puchha,

'' mohit ko kya hua..........?"

nijan ne ek lambi saans chhodte hue kaha,

'' me maanta hu ki umr me aur duniadari me aap mujhse jyada jaankar he par mujhe ye kahte hue jara bhi dar nahi lag raha ki aap mohit ke sath galat kar rahe he...."

 
sandesh ne tokte hue kaha, '' please mujhe us baare me koi baat nahi karni."

 
nijan ko gussa aa gaya, '' kyu nahi karni, karni padegi......."

sandesh ekdam se chonk gaya. Nijan kuch shaant hote hue bola,

'' dekhiye sir, jindgi me bahut kuch esa hota he jo ham nahi chahte par hota he. Lekin un unchahe palo ka gussa ham apni baki ki jindgi par to nahi nikal sakte,

 
me manata hu ki aap dono ne ek dusre ko pyar kiya par me ye bhi manata hu ki pyar ke raaste par mohit aap se kahi aage nikal gaya. Mene dekha he ek 17 saal ke masum ko aapke pyar me tadapte hue,

Aapka intejaar karte hue, aap ko shayad pata nahi ki mohit to sirf aap ke pyar ke bharose par ji raha he."

nijan ne sandesh ko vo letter wali baat batate hue kaha,

 
'' ha me manata hu ki mene aapke naam se jhuta letter likhne ki galti ki par us vakt mohit ki jindgi ka sawal tha,

mene dekha he uska diwanapan, uske pyar ki sachchai , sach kahu to usse dekhkar kabhi kabhi lagta ki agar mohit jesa chahnewala agar meri jindgi me aa jata to me aapki tarah u use tarsata nahi.

Sandeshji mohit ne sirf pyar karna sikha he nafarat nahi,

ha aakhir me itna jarur kahunga,

agar mohit kal ki flight se vapas u.k. Chala gaya to aap se badnaseeb insaan is dunia me koi nahi hoga,"

itna kahkar nijan chale gaye,

usi shaam ko vickey aur nijan ghar me bethe baate kar rahe the tabhi sandesh ki car aakar ruki, sandesh sakuchate hue andar aaye unhe dekhkar vickey ne aage badkar pair chhue aur nijan ne hello kaha,

ekdam chuppi chha gai. Kuch der baad sandesh ne kaha,

'' mohit.........???"

 
vickey,'' sir vo terrace par he...... "

sandesh teji se sidiya chhad gaye . Mohit khada hua aasman me fele taaro ko dekhte hue ro raha tha.

 
Sandesh ne dheeme se pukara ,'' mohit....."

 
mohit ab bhi aasman ki taraf dekh raha tha.

Sandesh ne fir pukara,

'' mohit.........baat nahi karoge apne sandesh se.??"

mohit ki aankho se teji  se aansu behne lage par vo chup tha.

 
Sandesh ne kaha,

'' mohit me samajh hi nahi paya ki pyar ke asal mayane kya hote he. Apni nafrat me sab bhul gaya. Par tujhe nahi bhul paya. Har pal umeed karta raha ki ek din tu aayega mujhe dundta hua. Aur mujhe manaa lega. Par us din tu mere gusse ko dekhkar chala aaya. Tune uske peeche chhupe itne saal ke pyar ko kyu nahi dekha, meri aankho ki becheni kyu nahi dekhi. Meri khamoshi ka matlab kyu nahi samjha."

 
mohit ab bhi peeth karke khada tha.

 
Sandesh, '' apne sandesh ke gale nahi lagega........"

mohit ab bhi vese hi khada tha.

 
Sandesh, '' shayad tum meri shakal nahi dekhna chahte..........ha me isi layak hu. Me chalta hu."

sandesh ne jese hi kadam mode mohit ki aawaj aai

'' gale to milna he par ........... Aapne hi to kaha tha mujhe ye shakal mat dikhana."

 
sandesh ki bheegi aankhe khushi se chamak gai unhone daudkar mohit ko gale laga liya,

 
mohit ne apni baanho me sandesh ko samet liya tha. Dono ro bhi rahe the aur has bhi rahe the..

 
Mohit ne sandesh ki aankho se aansu pochate hue kaha,

 
'' mene aapse kiya har vaada nibhaya . Aaj aapse ek vaada chahiye...?"

sandesh ne khush hokar kaha,

'' kya?"

'' chahe kuch bhi ho jaye aap mujhe kabhi chhod kar nahi jayenge."

sandesh ne mohit ke gaalo par ek pappi dete hue kaha,

 
'' kabhi nahi jaunga."

 
itna sunte hi mohit ne aapni majbut baajuo me sandesh ko utha liya aur uske pure chehre ko chumne laga..."

sandesh haste hue bola,

'' are chhod mujhe ...."

 
mohit haste hue bola, '' nahi chhodunga , aap bhag gaye to...."

 
dono ki hasi hawaao me gunj rahi thi.

 
Udhar nijan aur vickey dur khade apne aansu ponch rahe the,

nijan ne vickey se kaha,

'' vese aap bhi mohit jese hi romantic he kya?"

vickey ,'' is sawaal ka kya matlab samajhu.....?"

nijan ,'' kya pata aapko bhi koi sandesh mil jaye...."

 
vickey ne palatkar nijan ki aankho me dekha....

Ek aur kahani shuru ho chuki thi.....

.......................RAJVEER

.......( DHARMENDRA SINGH TOMAR )

@@@ samapt @@@

1 comment:

  1. Really heart touching story.I read this story with tears in my eyes. And while day I m just thinking abt this story. Really nice bro.

    ReplyDelete