Monday, October 22, 2012

PAPA...I LOVE U...

    • PAPA...I LOVE U...

      EPISODE :1
      ****************
      Place:Banglore
      Time :9:30am
      Sahil ‘bus’ se utar gaya………
      Ek naye anjaane shahar mein usane apana pehala kadam rakha tha……
      Usane apane maa ko phone kiya…..
      “mummy…I am in banglore…..just now i reached “
      Phone rakhake wo aage badh gaya……………….

      “EXCUSE ME…..”-sahil
      “yes………..”-afzal
      “boss…yeh HCL kidhar hai……?..”-sahil
      “HCL….wah toh GOLD hill square ke paas hai…….main bhi usi taraf jaa raha hoo……..aap aa sakate ho”-afzal
      Sahil afzal ke pichhe “bike’ par baith gaya…….
      “kaha se ho?”-afzal
      “I am from GOA…..my name is SAHIL……..”-sahil
      “wow..nice place……Ek baar aaye the hum Goa mein…………..mera naam AFZAL hai……”-afzal
      “yaha ke hi ho?”-sahil
      “haa…..abhi abhi…..mobile ka shop daala hai…..waha hi jaa raha hoo…”-afzal
      “that’s cool……….main bhi INTERVIEW ke liye jaa raha hoo…..I am a IT degree holder…..”-sahil
      “haa…..toh isiliye HCL mein………..any reference?”-afzal
      “no man……apani degree ke dam par JOB pane ka iraada hai…..hahahha”-sahil
      “actually bahut mushkil hai……….bahut CANDIDATES hoge……..reference ke dum par……….anyways ALL THE BEST…….”-afzal
      “thanks a lot……….”-sahil
      “so…….yaha shehar mein akele ho…..?....ya koi rishtedaar hai…….”-afzal
      “akela hoo….Banglore mein koi rishtedaar nahi………”-sahil
      “toh isake baad ROOM dhundane ka programme……”-afzal
      “dekhenge….agar select hua toh aagey ki baatein…….”-sahil
      “kya mere ghar mein rehana chahoge…?PAYING GUEST….”-afzal
      “nahi..nahi…….”-sahil
      “kyu nahi?...main muslim hoo isliye……..bahut bada ghar hai mera…daar mat………….dost ‘har muslim terrorist nahi hota’…..”-afzal
      “nahi yaar aisi baat nahi hai…….dekh lenge…….par tere gharwaale…..?”-sahil
      “fokat mein nahi rahega tu………paisa dega …….koi kuchh nahi bolega……….chal aa gaya tera HCL………….all the best………………ye le mera card…………..call kar mujhe…….”-afzal
      “thank you very much……..”-sahil
      .*************************
      Sahil andar aa gaya…….
      Bahut saare CANDIDATES the……..
      “interview shuru ho gayi kya…..?”-sahil
      “haa kab ki……..”-ek candidate
      “andar jo bhi gaya hai wo udaas chehare se baahar aaya hai…….”-dusara candidate
      “bahut difficult sawaal puchhate hai kya….?”-sahil
      “haa……ab tak 14 candidates andar jaa chuke hai……..sabane yahi kaha hai……”-pahala candidate
      Ek ke baad ek candidate andar jaa raha tha…..
      Sahil ki dhadkane badh gayi thi……….
      Bahut saare sapane leke wo GOA se BANGLORE aaya tha……
      Usake maa ne bhi bahut khwab dekhe the………
      Aaj usey pura karane ka din tha……..
      Karate karate….aakhari candidate bhi andar gaya……
      Aur bahar sahil akela rah gaya………..
      Usane apani aankhe band kar lee…….
      Usaki maa hamesha kehati thi…….agar kabhi bhi tumhe daar lage toh aankhe band kar lena…..aur bhagawaan ka naam le lena…..sab thik ho jaayega
      “bhagawaan……….please help me………..”
      Itane mein kisi ne usaka naam pukaara
      “sahil salkar”
      “yes…….”-sahil
      “aapako andar bulaya hai…….”
      “yes…….”
      Sahil ka dil tez dhadak rahaa tha…..
      “may I come in?”-sahil
      “yes…come in……”-
      Andar ek lambe table ke teeno taraf 8 log baithe the……….
      “yes….what is your name……?”-one person
      “SAHIL SALKAR”-sahil
      “YOU HAVE MAIL US BIO DATA RIGHT?”-
      “YES SIR”-sahil
      “SAHIL SAVITA SALKAR?????”-
      “yes…..its my mother’s name”-sahil
      “why mothers?????”-
      “I don’t have father…….i lost him when I was just 5”-sahil
      “we are sorry…………..”-
      Itane mein………MAIN CHAIR par baitha hue aadami ne usaki taraf dekha…….jo ab tak chup tha
      “you are from GOA..?...............”-us aadami ne puchha
      “YES ,SIR …HE IS FROM GOA”-1 person
      “from MARGAO……?SAVITA SALKAR IS YOUR MOTHER?..........”-us aadami ne usey phir se puchha
      “yes…sir I am from margao…….savita salkar is my mother……..”-sahil
      “GUYS…THIS BOY IS SELECTED…………………”-us aadami ne kaha
      “BUT SIR…..WE NOT EVEN ASKED HIM A SINGLE QUESTION……..”-1 GUY
      “YES SIR…..WHAT YOU FOUND DIFFERENT IN THIS GUY……..?”-2ND GUY
      “WE HAVE BETTER GUYS IN OUR SHORT-LIST………”-3RD GUY
      ……………………………………
      “MY DECISION IS FINAL……..MR.SAHIL SAVITA SALKAR…….YOU ARE SELECTED……”-us aadami ne kaha aur wo bahar chala gaya……..
      To be cont……………………………………….





    • EPISODE:2
      ...“so….sir…my selection is confirm…?”-sahil
      “……yes……finally its our sir’s decision…..you can join from tomorrow……”-one person
      “thank you sir…….thank you very much…..”-sahil
      .********************
      Sahil bhagata hua COMPANY se bhahar aa gaya……..jaise ki usane aasamaan ko hi haath lagaya tha…..
      “yes…yes……yes…………..”-sahil
      Usane apani maa ko phone lagaya…….
      “mom……muaaaaaaah……………I won the match……….yaaaaaahoooo”-sahil
      “oh really…….thank god………..i cant tell you…..about my happiness baba…….”-mom
      “you know mumma….they did not asked me a single question…..’sirf GOA ka naam suna …aur select kiya………………..i think that guy lost his love in GOA…..hahahah”-sahil
      “hey…chuup……..pagal”-mom
      “this is not my success…mom..its your…….totally yours………’aapaki mehnat ka hi phal hai maa…..’-sahil
      “I proud of you my son…….now work hard………….so when you are joining….?”-mom
      “from tomorrow ……”-sahil
      “and where you will stay…?.........”-mom
      “lets see…….chal mumma……..now I am keeping the phone take care…….ok my sweetheart……”-sahil
      “haahaha….yes sir….”-mom

      Sahil ne phone rakh diya……..
      Maa ka sapana aaj pura hua tha…….
      Bachapan se usey usaki maa ne..bahot mehnat karake …padhaaya tha……
      Jab wo 5 saal ka tha…tab hi…usake ‘PAPA’ unhe chhodkar gaye the………..

      Usane ‘wallet’ se AFZAL ka card nikaala……aur usaka number lagaya
      “hey….boss……….sahil bol raha hoo……”-sahil
      “arey…….toh nateeja kya nikala…?”-afzal
      “main select ho gaya……………wo bhi bina kisi ‘reference’ ke…..”-sahil
      “hmmmm….maan gaye aapako…………so,aayega mere ghar……..?”-afzal
      “..haa…aana to padega hi….kal se JOIN karane ke liye bola hai……….ab..tere ghar rehana hi padega….no option…”-sahil
      “hahaha…..kamina hai tu……chah..ruk waha hi aata hoo………”-afzal
      “jaldi aa…kisi hotel mein khana khaane ko jaayenge……….”-sahil
      “tu kha le………..ROZA…rakha hai humane……..”-afzal.
      “ok……jaldi aa…”-sahil

      .******************************

      Dopahar ko AFZAL sahil ko apane..ghar lekar aayaa….
      “ammi…..ammi…….abbu ka haay??”-afzal
      “upar hoyega……..”-ammi
      “aa….sahil……upar aa……..”-afzal
      Dono upar ke kamare mein chale gaye….
      “abbu……ye hamaara dost haay…….”-afzal
      “wah bhai……..kaisey ho beta?”-abbu
      “ji thik hoo…..”-sahil
      “inakaa naam sahil haay…..GOA se aayaa haay……humaare ghar PAYING GUESt banker rahega….”-afzal
      “apana ghar samaj ke raho beta……..aur kisi baat ka ‘tension ‘ mat lo…………agar yeh kameena tujhe takleef de do mujhe bataa denaa..hhahah”-abbu
      “hahhaha…jaroor”-

      Aur abbu bahar gaye……
      “….kya jaroor….?.......toh kaisa laga kamara……..?yeh bed tera…….wo bed mera………..waha bathroom aur toilet…….”-afzal
      “hmmmm….”-sahil
      “kaha kho gaya….?”-afzal
      “kaha nahi…….tumhare ABBU tumase baut pyaar larate hai naa….?”-sahil
      “duniya ka har baap apane bête se itana hi pyar karata hai……………..tumhaara DADDY tumase pyaar nahi karata..?”-afzal
      “MUJHE TO BAAP HI NAHI HAI…….”-sahil
      “oh……sorry……….”-afzal
      “no its ok…par lagata nahi usane kabhi mujhase pyaar kiya hoga…………..jab main 5 saal ka tha tab hi wo humein chhod ke chale gaye……”-sahil
      “matalab….wo zinda hai…..?”-afzal
      “pata nahi………pahale pahale main samajata tha…ki wo mar gaye hai……………jaisey jaisey bada hua…tab pata chala ki….wo mare nahi…balki humein chhod ke chale gaye the…………..meri maa ab bhi unake naam ka ‘sindur’ lagaati hai…..gale mein ‘mangalsutra’ daalati hai…….”-sahil
      “tu apane baap ko MISS nahi karata?”-afzal
      “pahale pahale bahut karata tha…..school mein sabake PAPA hote the…….mujhe hi papa nahi the………..tab buraa lagata…….jab bhi kisi dost ko usake baap ke saath dekhata to ..dil mein kuchh hota tha………..maa ka pyaar to bahut mila yaar…………..par baap ka pyaar kya hota hai….kabhi samajha hi nahi…………………………har samay unhe miss kiya hai maine…….jab padosi ka beta apane…baap ke saath ‘BADMINTON ‘ khelata tha……tab miss kiya…….jab school mein dosto ke baap unhe DROP karane aate the …tab miss kiya…….JAB REPORT CARD PAR SIGN karane students ke baap aate the tab miss kiya………..ghar mein to har din miss kiya………bhagawaan se hamesha ek PAPA maanga………………………….par unhone kabhi diya nahi………”-sahil ke aankho mein aasu aagaye
      “arey paagal…….tu ro raha hai…?ladaki ho kya…?chup……ho jaa”-afzal ne usaka sir ko apani chhati ka aadhaar diya……..
      “ek baap ke bina………bachha adhura hi hota hai yaar…”-sahil
      “ab bas kar………..nahi toh ek muh pe thappad lega tu…….”-afzal
      “but AFZAL……….zindagi mein kabhi milenge wo mujhe…..? unase ek hi sawaal punchhana hai………..jhagada to maa ka aur tumhaara ho gaya tha…………phir sazaa mujhe kyu mil gayi….?”-sahil
      To be cont

    • EPISODE :3

      Next day
      Naya suraj upar aa raha tha…….
      AFZAL namaz padh kar bhi hua tha……..
      Halki haawayein jarasi thandak lekar aayi thi……
      pahali sunahari kiran ….SAHIL ke chehare par chadh rahi thi……
      “abbey uthh na……aaj pehala din hai na?”-AFZAL
      “..ummmmm……kitane baj gaye……?”-sahil
      “6.45…….”-AFZAL
      “6.45?????pagal ho gaya hai tu…?……office 9.30 ko hai……8 baje uthata hoo…”-sahil
      “saahab…….yeh BANGLORE hai….aapaka GOA nahi……..”-afzal
      “ruk na………thodi der……”-sahil
      “dekhata hoo…kaisey nahi uthata tu…….”-afzal

      AFZAL bathroom gaya aur ek ‘MUG’ bhar kar paani le aayaa…..
      Aur sahil ke sir par daalaa………
      “ummmmm….you mad……fuck…..what the fuck is this…….?..ab tu mar gaya……”-sahil bed se uthakar bathroom gaya…….
      Aur dusara ‘MUG’ paani se bharkar laayaa…….
      “dekh……..agar mujhapar paani ki ek bund bhi giri toh………”-afzal
      “tu mar gaya………tumhe nahalaya nahi toh …mera naam bhi sahil nahi…..”-sahil
      “dekh sahil…....maarunga tujhe…….hahahha”-afzal
      “bhag mat….aa………..”-sahil
      Afzal sahil ki taraf bhag kar aayaa….aur jis haath mein paani ka’MUG’ tha…usey kaskar pakada……
      “chhod ‘MUG’……….main kehata hoo chhod…….”-afzal
      “nahi………”sahil ne usi haath se MUG ke paani ko AFZAL par fenka…….
      Aur isi hadbadahat mein………..sahil ka pair fisala……..aur wo zameen pe gira……..aur usake upar …..AFZAL gira…….
      Tufaan ekdam sa shaant ho gaya………
      “kamine………………………”-afzal
      “hahahahhahah…………….”-sahil
      “dil khush ho gaya???mil gayi tassalii?”-afzal
      “haa……..hahahah…..ab zara mere upar se uthane ki takleef karoge…..?-sahil
      “ji nahi……….mast lag raha hai……………”-afzal
      “kyaa…????”-sahil
      “tera jo khada hai……..wo mujhe chubh raha hai……..”-afzal
      “pagal…uth jaa………subah subah wo hamesha khada hi rehata hai…hahahha”-sahil
      “press karu kya…..?”-afzal
      “…….uth…dekh tere abbu aa gaye…….”-sahil
      Afzal…….jhat se uth gaya……….
      “hahhahahah…………………….”-sahil
      “tujhase kamina ….maine ab tak dekha nahi…………..par kaisa bhi ho…….bahut achha hai tu……”-afzal
      “bas kar………main bathroom jaake nahaata hoo………”-sahil
      “jaldi kar……mujhe bhi shop par jaana hai……customer baad mein abbu ko bolate hai..ki …tera beta time pe nahi aata”-afzal
      Jaldi jaldi nahakar……….sahil aur afzal tayaar hogaye………
      Aur afzal ne usey usake office tak chhoda……
      .******************************
      Sahil office pahuch gaya
      “good morning……….”-receptionist ne usey welcome kiya
      “good morning….”-sahil
      Phir ek aadami ne aakar usey usaka cabin dikhaya…….
      Cabin chhota tha…par mast tha………
      Usane apani maa ko phone lagaya……….
      “mom……good morning”-sahil
      “good morning my son……”-mom
      “I am in my new office ….mera cabin mast hai……..tu dekhana chahati hai………just a minute…………..yes……..tu tera SKYPE on kar………..aur dekh….main phone rakhata hoo…online aa…?”-sahil
      Sahil ki maa online aa hi gayi thi…..tabhi…….kal ke wo aadami SAHIL ke cabin mein aa gaye….
      “oh….. video chatting chal raha hai……?”-boss
      “no sir…….i am sorry ...i was chatting with my mom………you want to see her face..?”-sahil
      “no..its ok…………..but concentrate on your work……..”-boss
      Sahil ne chat window band kar diya……
      “so…how is your mom……?”-boss
      “she is very happy…….she loves me very much…….aur ….usake siva mera hai hi koun is duniya mein……”-sahil
      “so……tumhare baap kya karate the…?”-boss
      “he was a doctor……”-sahil
      “who told you this..?....”-boss
      “obviously…my mom sir……”-sahil
      “hmm……ek baap ke bina tumane bahut kuchh miss kiya hoga….”-boss
      “ji nahi………..meri maa ne mujhe har khushi di hai…….”-sahil
      “jab wo mar gaye tab tum bahut chhote the na…?...tumhe unaka chehara yaad hai?”-boss
      “no sir……he is alive….sirf ‘divorce’ hua hai…...and ….ghar mein unaki ek bhi ‘tasveer’ nahi hai…… isiliye unaka chehara bhi yaad nahi hai…..”-sahil
      “hmmm…..aur agar wo tumhare saamane aa gaye toh tum unhe kaise pehchanoge?”-boss
      “pehchan hi nahi sakunga………”-sahil
      “aur agar….koi aakar tumase kahe ..ki wo tumhara baap hai………wo tumhe paanaa chahata hai toh………….tum jaaoge unake saath?”-boss
      “ji nahi………I hate that person……..mere muh se ek hi baat aayegi…’papa..i hate you’……aur kuchh nahi…….”-sahil
      TO BE CONT.....

    • EPISODE:4

      8 din baad
      AFZAL ne bathroom se aawaz di…….
      “abbey Darling……..jara towel dena……”-AFZAL
      “kya..hai yeh?........apani cheese lekar nahi jaa sakate?”-sahil
      “arey bhool gaya……..”-afzal
      “tumhe ab aadat ho gayi hai……hamesha aisehi karate ho…..”-sahil
      “abbey lecture mat de mere baap…….tu deta hai ki nahi……..dekh sardi lag jaayegi mujhe”-afzal
      “aadha ghanta waisa hi ruk……………..”-sahil
      “pura gila hu main………”-afzal
      “toh kya hua????-sahil
      “ok………….aaj tujhe drop hi nahi karunga……”-afzal
      Afzal gile under-wear par hi bahar aa gaya……
      “hahhaha………”-sahil
      Sahil ko pehali baar AFZAL ko dekh ke kuchh alag ho gaya…….
      Usey aisa laga ki…….AFZAL ko jaake ‘touch’ karoo…….
      Usako ‘hug’ karoo….
      Usake majboot ‘chest’ par apana sir rakhoo……
      Afzal ka bhiga badan usake maan ko vichlit kar raha tha…..
      Afzal ne towel uthaya
      “aaj……paidal hi office jaana……….aur mujhase baat bhi mat karana”-AFZAL
      “I am sorry…….ab maaf bhi karo na………”-sahil
      “main aaj dukaan jaane wala nahi hoo…..ghar par hi rahunga……tu jaa….”-afzal
      “………..toh pahele kyu nahi bataya…..ab mujhe ‘late’ ho jaayega……..”-sahil
      “jaisi karani waisi bharani…..”-afzal
      “please yaar………”-sahil
      “main kya naukar hoo tera….?”-afzal
      “please yaar……aaj hi…….kal se main jaldi jaaunga…….tere ‘bike’ ko touch bhi nahi karunga….”-sahil
      “I am sorry….”-afzal
      “achhi baat hai……..”-sahil
      Aur sahil……room se city ki taraf paidal gaya…..aur auto-rickshaw karake office chala gaya…..
      Usake boss ne apane cabin se……..usey rickshaw se utarate hue dekha…….
      Sahil office ke andar aa gaya…….
      Aaj bahut ‘late’ hua tha…..
      Wo bhagate bhagate apane cabin chala gaya……
      Kuch der baad…….ek ‘peon’andar aa gaya..
      “sahil ji…..aapako boss ne apane ‘cabin’ mein bulaya hai”-peon
      “oh…main jaanate hi tha……aisahi hoga……..main ‘late’ hua hoo na………bahut gussa honge…..
      Sahil darate darate……’boss’ ke cabin mein chala gaya……
      “may I come in sir?”-sahil
      “yes………………..”-boss
      “aapane bulaaya sir………?”-sahil
      “hmm…….’late’ kyu hua..?”-boss
      “aaj dost nahi tha…..so auto rickshaw se aana pada………room se city …jara door hai…..”-sahil
      “toh hamesha aisa hi hoga…..agar dost nahi raha to tum…aise hi ‘late’ aa jaaoge”-boss
      “nahi sir…..this is the first and last time”-sahil
      “hmm….kaha rahata hai tu?”-boss
      “vasya bank colony,…..ek dost ke ghar rahata hoo….paying guest…..”-sahil
      “hmm…..room bada hai…?”-boss
      “haa…….main aur mera dost ek hi room ‘share’ karate hai……”-sahil
      “share???aur tum adjust karate ho…?-boss
      “naya hoo na banglore…..aur koi relative bhi nahi hai……..”-sahil
      “aaj se wo ‘room’ chhod do…………….company will arrange a flat for you………..here nearby..”-boss
      “par sir……”-sahil
      “you can go now…….”-boss
      Sahil cabin se bahar aa gaya……
      .***************************
      Sham ko sahil room par aa gaya…..
      “beta aa gaye?”-abbu
      “haa abbu……….upar AFZAL hai?”-sahil
      “haa…..”-abbu

      Sahil upar aa gaya
      AFZAL bed par pada tha……..
      “hi………”-sahil
      Afzal ne jawab nahi diya………
      “abhi tak gussa ho??”-sahil
      Afzal bina kuch kahe bed se uth gaya aur room se bahar chala gaya……..
      2-3 ghante aise hi gaye……..
      Sahil bahar jaake khan abhi khaakar aa gaya……..
      Ab sone ka ‘time’ hua tha…….
      Phir bhi AFZAL baat karane ka naam bhi nahi le raha tha…….
      AFZAL apane bed par…….so gaya…….
      “AFZAL……”-sahil ne khamoshi todi
      Phir koi jawab nahi aayaa……
      “AFZAL kal se main ye room chhod raha hoo……..kal subah hi…..main chala jaaunga…..tumhara ‘bill’ bana dena………..”-sahil
      “kyaaaaa?????”-afzal
      “haa…..”-sahil
      AFZAL bed se uthh gaya….
      “abbey pagal……main mazaak kar raha tha…………I am sorry”-afzal
      “koi baat nahi….”-sahil
      “arey……samajha kar yaar………..dost hai na tu mera..?..........tune ye baat itani ‘seriously’ le li……………..main toh teri taang khinch raha tha…….”-afzal
      “hamare boss ne……mujhe ek ‘flat’ diya hai………aaj wo bahut gussa the……..”-sahil
      “aisa mat kar yaar…..shit….main hi pagal…………..please sahil…………….main apane aap ko maaf nahi kar paaunga……..”-afzal kea ankh mein aansu aa gaye
      “maafi kis baat ki afzal…?......aur ro kyu raha hai…….?”-sahil
      “tu mat jaa yaar…………….”-afzal
      “arey kabhi na kabhi to mujhe jaanaa hi hai….aaj nahi toh kal……”-sahil
      “tu samajata kyu nahi………..tu mera sirf dost nahi hai…….”-afzal
      “matlab………”-sahil
      “tu mere liye ek dost se jyaada hai……”-afzal
      “main samajha nahi…….”-sahil
      “tu nahi jaayega yaha se……..”-afzal
      Aur afzal ne aakar sahil ko gale lagaya……
      “maaf nahi karega mujhe………please………main pyar karata hoo tumase……”-afzal
      “kya…….????”-sahil
      Afzal ne kuch kahe bina………….sahil ko ‘kiss’ kar diya………
      to be cont...
      .*********************

    • EPISODE:5

      “yeh kya hogaya???”-sahil
      “pyar karata hoo tumase……ab to rukoge na?”-afzal
      “nahi…..par tu mujhe waha roz milane aayega…….”-sahil
      “kyu….?yeh bhi tumhara hi ghar hai…………….dil ka rishta hai janab…..”-afzal
      “ab jid mat kar………..sham ko mere office ke saamane mil mujhe……..”-sahil
      Sahil ne afzal ko bahut samajaya………..aur aakhir afzal ko haar maanani padi…..
      .***********************
      Dusare din…….
      Sahil ne sabase vida le li……….
      Afzal ne bike start kar li…….
      “chup chap kyu ho?”-sahil
      “maan nahi hai baat karane ka…”-afzal
      “hmmm…….bahut achha laga kal………tere baaho mein….”-sahil
      “agar main bolata nahi…toh zindagi bhar …..apane dil baat dil mein rakhake reh jata tu……”-afzal
      “haa…………….mujhame itani himmat nahi hai…….”-sahil
      “……….kya koi GF hai teri…?”-afzal
      “nahi………..”-sahil
      “ab tu sirf mera hai………………saath nibhayega na…………?”-afzal
      “haa………ek bolu??.......….tu bahut handsome hai…………….”-sahil
      “tub hi kuchh kam nahi…………………’kiss’ karane ka maan kar raha hai…..par ‘ROZA’ rakha hai na……….sham ko karunga……….”-afzal
      “aa gaya mera office………”-sahil
      “chal………sham ko milenge………I love you…..”-afzal
      “…..thik hai…….”-sahil
      “kya thik hai…….bol na……..i love you too…..”-afzal
      “office ke bahar hoo main……….”sahil
      “bol…………jab tak bolega nahi…yaha hi rukunga……..”-afzal
      “pagal……………..i love you too……”-sahil
      “ye huee na baat……………”-afzal ne bike start ki aur waha se chala gaya…..
      Sahil ke chehare par halki muskaan aa gayi…..
      .**********************
      Boss ne sahil ko cabin mein milane bulaya…..
      “sahil…….samane wale apartment mein……….3rd floor pe…flat number 302….aaj se tumhara hai…….tum saaman shift kar sakate ho…..”-boss
      “saaman kuchh jyada nahi sir………..sirf ek bag…..wo main mere saath leke aaya hoo….”-sahil
      “good……….flat main………jyada tar……..sab ‘facilities’ hai……….”-boss
      “thank you sir………..”-sahil
      “thik hai…peon se ‘keys’collect karana…………..….ab apane kaam pe dhyan do…..”-boss
      “ji sir…..”-boss
      .**************************
      Sham 7 baje the……
      Sahil office ke bahar afzal ka wait kar raha tha………
      Tabhi usane phone karake apane mom ko bhi apane flat ki baat batayee………
      Aur …thode samay ke baad AFZAL aa gaya……
      “darling…………”-afzal
      “kitani der……”-sahil
      “I am sorry…………….so….janab ko ‘keys’ mil gayi…..?”-afzal
      “haa…….chale…….?”-sahil…
      Dono flat par aa gaye……………..
      Flat bahut bada tha………..
      “mashallah…………itana bada flat???teri toh nikal padi yaar…”-afzal
      “tera hi to hai……….”-sahil
      Dono bedroom mein aa gaye………
      “aur yeh hamaara ‘bed’…..”-sahil
      “awesome……………”-afzal
      “ab ek……kiss de na mujhe…….”-sahil
      “darwaaza toh band kar de…………….”-afzal
      “daar mat………….yaha to hamaara hi ‘kingdom’ hai……..”-sahil

      Aur sahil ne usey bed par uda diya…aur ‘kiss’ kar diya…
      Dono apane jaha mein kho gaye the……
      Tabhi
      “what the FUCK is this?????”
      Ek garajati aawaz aayee………
      Sahil ne pichhe mud ke dekha…..
      Toh….usaka ‘boss’ khada..tha…………
      “I am sorry sir………….”-sahil bed se uthh gaya……
      Boss usake paas aaya…..
      Aur usake gaal pe ek zordar thappad lagaya………
      “sahil..ko haath lagane ki aapane himmat kaise ki…..?”-afzal
      “yeh hamara mamla hai………….aap bich mein mat pado……”-boss
      “aapane usey kharid nahi liya hai……….hum pyar karate hai ek dusare se……….”-afzal
      “chup……….sahil,sharam nahi aati hai kya……yeh sab karate hue…..?”-boss
      “sorry sir……”-sahil
      “sahil…….ab tum yaha nahi rukoge……….hum apane ghar hi rahenge……..”-afzal
      “main afzal se pyar karata hoo sir…………………..aap chahe to muje kaam se nikal sakate hai…………..nahi chahiye aapaka flat…………………aaj tak mere maa-baap ne bhi mujhpar haath nahi uthaya tha…………maine kuchh galat nahi kiya tha……..ye lo aapki ‘keys’………….chal afzal”-sahil

      To be cont

    • EPISODE:6

      “ruko..sahil……”-boss
      “ab rukake kuchh faayada nahi hai sir………jaanate hoo main…..aapake liye yeh sab majaak hi hoga……..’GAY’ yeh word hi majaak ki cheez ban gaya hai………….par hum jaanate hai….hum ek-dusare ke liye kya hai……………….aap yeh nahi samajoge…………………….”-sahil
      “sahil……”-boss
      “bas sir…………..aap mujhe kaam se nikal sakate hai…….meri maa ka sapana toot jaayega………………mujhe sirf ek baat ka jawab chahiye….agar aap ka beta ‘GAY’ hota……aur wo inhi haalat mein hota……..aur usaka boss usey naukari se nikalana chahata….toh aapako kaisa lagata…………….”-sahil
      “shut up…sahil……………………mera ‘beta’ GAY ban hi nahi sakata……………”-boss
      “kyu nahi……….ban sakata”-sahil
      “……….kyu ki usake liye ….usake baap ne bahut badi qurbaani di hai………”-boss
      “main samaja nahi…………..”-sahil
      “sunana chahate ho???................I am a GAY………………….aur …………Tera PAPA……mera BOY –FRIEND hai…………hum pyaar karate hai ek dusare se………..teri maa………tujhe humaare saaye se door rakhana chahati thi…………..taki…………tu GAY na bane…………..tere upar baapaki buri aadato ka saayaa na pade…………………main jaanate hoo…tere baapane ek ek din kaisa kaata hai……………… kitane dard ke aansu piye hai…………………baap hokar bhi…usey PAPA bulaane wala koi nahi tha……….aur aaj tu…us qurbaani..dard ko paani main mila raha hai…..????”-boss
      “kyaa……mera PAPA……..aapaka dost hai……..??”-sahil
      “haa……………………………………is kahaani ki shurvat huee 18 saal pehale………..BVM collage ,gujraat se……main computer engineering complete karake goa aa lout raha tha………………………..

      .****
      18 saal pehale
      “taxi…………..”-maine ek taxi-wale ko aawaz di
      Ek taxiwala mere saamane aakar ruk gaya……..
      “patrao……khay vachapache??(kaha jaana hai?)
      “benaulim………….”-main
      Aur humane ghar ki raah pakadi hi thi………..tabhi…………ek truck……….hamaare saamane aa gaya…………aur……………bahut bada ACCIDENT hua…………..mere saamane toh maut hi aayee thi…………………………jab aankhe khuli……toh apane aap ko G.M.C. mein paayaa………..bed pe leta hua…………………………..
      2 din tak main behosh tha………
      Sir pe chot lagi thi…………operation bhi karana pada tha………
      Maine jab aankhe khuli toh………sab ke aankho mein aansu the……….
      Koun aata jaata………mujhe kuchh maalum nahi tha…….
      1 week ho gaya……..aur main bolane laga…………..pehali baar apane aap ko sahi tarah hosh mein paaya tha
      Tabhi ek 32 saal ka doctor mere paas aa gaya……
      DR.SAMEER SALKAR……….
      “kya hero…………..kaise ho…..?”-sameer
      “thik hoo……”-main
      “MR.VARAD …ab koi masti nahi…………….ab Injection ka time ho gaya………”-sameer
      “aur kitane din rehana hai………yaha….?”-main
      “bahult jald…………..engineer saab……………..chalo ab naye kapade pehano……………..nurse, isake kapade badalo…………”-sameer
      “nahi……………..main badalata hoo…………..wo nahi”-maine kaha
      “sharam aati hai kya???......main badalu??..........maine sab kuchh dekha hai tera……..”-sameer ne mere kaan mein kaha…….
      Aur maine garden hilakar usey manjoori de di……..
      Usane mere kapade badale
      Us din maine….pehali baar apane aap ko….kisi paraye mard ke saamane nanga paaya tha……..
      Aur yahi thi meri aur sameer ki pahali mulakaat………..
      Pehali mulakaat mein hi wo mujhe achha laga tha……….
      Dheere dheere wo mera achha dost ban gaya………
      Mujhe dis-charge mil gaya………………..par hamaari dosti charge ho rahi thi………
      1 -2 baar wo mere ghar par bhi mujhe milane aa gaya……..
      Dheere dheere maine usey ‘doctor’ bulana chhod diya….aur ‘sameer ‘bulane laga……
      Phir ek din mujhe pata chala ki………wo ‘shadi-shuda’ hai…………..aur usaka ek ‘4 saal’ ka beta bhi hai….
      Pata nahi kyu………par……….us din main bahut roya…………aisa laga ki maine kuch kho diya hai…………..
      2 mahine beet gaye………..
      Main thik hua tha……..
      Ek din main usey milane usake clinic gaya…….
      wo kuch tense tha………..
      “kya hua…….aaj mood thik nahi lag raha hai……”-maine kaha
      “kuchh nahi……”-sameer
      Usaki aankhe lal thi
      “tu ro raha tha…?kya hua sameer…..?mujhe nahi batayega………?dost hu na tera…..”-main
      Usane mujhe ‘hug’ kiya….aur mere khande par sir rakhake jor jor se rone laga…………
      “kya hua………….?”-main
      Usane kya bataya …..kya bola……..mujhe kuchh pata hi nahi chala……………par usaki baaho mein khud ko paakar main kahi kho gaya tha……..
      na jaane main mera hosh hi kho baitha…….aur main usey ‘kiss’ kiya……..
      pehali baar humein hammare pyaar ka ehsaas hua tha…….
      Phir mulaakatein…..badhane lagi………..dosti bhi badh gayi…….
      Saath hi pyaar bhi badh gaya…………
      Ab main usake ghar bhi aa-jaa raha tha…….
      woh apane biwi aur bete se bahut pyar karata tha....Usaki biwi aur beta bhi mere dost ban chuke the…………par mere aur sameer ke beech kis tarah ki dosti hai ..isaka unhe andaza bhi nahi tha………
      Chup chupake hamaara pyar chal rahaa tha……..
      Aur ek din…….
      Usaki biwi ghar nahi thi……….
      Main usake ghar gaya tha……..
      Hum apane aap ko rok nahi sake……aur…………..bistar par pyar ka khel shuru ho gaya………..
      Tabhi usaki biwi ghar pahuch gayi………..
      Aur usane humein us haalat mein dekh liya…….jo usey dekhana nahi chahiye tha……..
      Ek tufaan sa aa gaya…
      Laakh samajaane par bhi wo nahi maani……..
      Baat ‘divorce’ tak pahuch gayi………pati GAY hai….yeh ek hi baat divorce dene mein kaafi thi……. sameer ne usey divorce dene se mana kar diya…………..par ……….usase dur rehane ka vaada kiya…..
      “main mere bête ko is mahol mein nahi badhane dungi…………………usapar aisi aadato ka saaya bhi nahi padane dungi……………….mera beta ‘mard’ hai………….usaka baap mar gaya hai………….isase aage usey kabhi bhi mat milana………………wo GAY nahi banega…….main usey GAY nahi banana dungi……..”-sameer ki biwi savita boli
      “thik hai savita…..agar tumhe aisa hi lagata hai ki…mere kaaran mere bête ka bhavishya bhigadega……………..wo bhi is aadato ka shikar banega………us samaaj mein sthaan nahi milega……….toh…………………mere bête ke khushi ke liye……..main usase door rehane ke liye tayaar hoo…………………usey zindagi bhar apani shakal bhi nahi dikhaunga……………..aur tumase vaada karata hoo……..jis din main tere bête se milunga ….wo din meri zindagi ka aakhari din hoga………….”-sameer

      Us din mujhe pehali baar mera pyar galat laga…………..pehali baar laga ki maine koi galati ki hai…………………..mujhe laga ki maine hi ek khushi se hasate jhoomate ghar ko barbaad kar diya hai……………………………………….

      To be cont……..


    • PAPA…I LOVE U…
      EPISODE:7
      “Aur phir??”-sahil
      “phir ….SAMEER ne apana ghar chhoda……..hum dono panajim aake rahane lage……mere gharwale bhi hamaare is alag aur anjane pyar se sahmat nahi the……..wo bhi hamare pyar ke khilaf ho gaye the……..tumhare rishtedaro ne toh mujhe hi galiyaa deni shuru kar di thi…………….phir sameer ne naya job dhundana shuru kiya…….kyu ki woh ab GOA mein hi nahi rehana chahata tha………..
      Aur………. naseeb se……..usey banglore mein ek bade hospital mein job mil gaya……………….GMC mein ‘resign’ karake usane mere saath banglore jaake rehane ka faisala kiya….. hamesha….hamesha ke liye……………..
      Mujhe apane gharwalo ko chhodate bahut dukh ho raha tha……….par phir….maine apane maan ko samajaya……ek aadami tere liye apane biwi bachhe ko chhod sakata hai….toh tu kyu nahi………
      Aur ….phir…main apane pyar ke saath banglore aa gaya…..
      …….shurwat ke kuchh din ……main bekaar tha……..aur wo kamaata tha…..mujhe kisi cheez ki kamee mehsus hone nahi de raha tha………
      Maine agar mere kaam ki baat nikali to gussa hota tha……..
      Phir ek din main chupake se ek interview ko gaya aur main select bhi ho gaya……..
      Us din main bahut ghabara gaya tha……..kyu ki sameer ko yeh baat batani mushkil thi…
      Aur…….aakhir maine usey bataya……mujhe bahut kuchh sunana pada……..us din usane mujhase baat bhi nahi ki…………….par ….wo sameer tha…mujhase ruthkar jyada der nahi reh sakata tha…………
      …yaha se sab kuch thik chalane laga………
      Din bhar kaam….hum thak jaate the……..par raat ko jaise hi saath aate ..hum sab thakaan bhul jaate the……….
      ..hasate khelate…….kabhi ruthate-manaate……..mere zindagi ke sabase khubsurat din the wo……..

      3 saal kaise gujar gaye pata nahi chala………
      ..par aisa ek bhi din gaya nahi….jis din humane tumhe aur tumhari maa ko yaad nahi kiya……..
      Aur…….
      Shayad us din hamare…….pyar ko kisi ki nazar lag gayi………
      Sameer sham ko hospital se laut raha tha…..tabhi usaka bahut bada accident ho gaya………….
      Wo kareeb kareeb maut ke muh mein hi chala gaya tha…….
      Pehale ye khabar sunake hi main pagal ho gaya tha………
      Aur……Jab maine hospital meine usako khoon se latpat dekha…. tab………meri haalat kya ho gayi thi wo main hi janata hoo…..
      Ek ek pal maine ro ro ke nikala tha…….
      Aansu to rukane ke naam hi nahi le rahe the…….
      Anjaane shehar mein main akela tha……
      Kisika bhi ‘support’ nahi tha…….
      Main hi ro raha tha……..aur...main hi idhar udhar bhag raha tha……
      Ek pal aisa laga ki……..ACCIDENT ki wajah se hi hum mil gaye the….aur ACCIDENT ke kaaran hi hum bichhad jaayenge…….
      Kisi bhi bhagawan ko maine chhoda tha….har mandir..har church…har dargah…maatha..tek ke waha roya tha……
      Aur….
      Bahut duvaao ke baad bhagawan ne meri sun li…..mujhe mera pyar lauta diya ……
      Meri zindagi mein…..Phir se khushiya laut ke aayi…..…..
      ……………………………………….
      Sahil ne apani aankhe ponchh li……
      “I am sorry sir…….maine aapako kya kuch nahi kaha………main aapko galat samaj raha tha……… pyar ka hota hai..yeh aapako samaja raha tha…..par..…humaara pyar to aap ke pyar ke saamane kuch bhi nahi hai…………..meri maa hi galat thi………jo tum dono ke pyar ko samajh nahi saki………”-sahil
      “us samay wo sahi thi sahil………usake jagah koi aur patni hoti toh….woh bhi wahi karati………..par kudarat ka khel to dekho…………usane aaj tumhe usi jagah khada kar diya hai….jis jagah…..18 saal pehale tumhare papa the………..tumhari maa apane bête ke dil ko ‘kaid’ na kar saki….”-boss
      “sir…..main mere papa se mil sakata hoo kya……?-sahil
      “kyu…….usey aur koi sawal punchanne baki hai???yaa…..i hate you ..bolana hai”-boss
      “nahi sir,mujhe mere saare sawaalo ka jawaab mil gaya hai…..ab sirf unhe gale lagana hai ……..”-sahil
      .**************
      Sahil aur afzal ko lekar unaka ‘boss’ apane ghar aa gaya…….
      Bahut bada bunglow tha……..
      Wo teeno andar aa gaye……..
      “laxmi,bade saab ka khana taiyar hai….?”-boss ne apane maid se punchha
      “haa chhote saab…”-laxmi
      “aur ye dekh…ye bade saab ka beta hai……..”-boss
      “namaste saab…..”-laxmi
      “namaste….”-sahil
      Wo teeno bed room mein aa gaye…….
      “jaana ……dekho to koun aayaa hai…..”-boss ne kaha
      Room mein bed par ek 50 saal ka aadami leta hua tha…….
      Boss ki aawaz sunake usane apani aankhe khol di……..
      “jaanaa…….dekho……humaara sahil aa gaya hai……kitana bada ho gaya hai na…?”-boss
      “kya ho gaya hai inhe….?”-sahil ne punchha
      “jab accident hua …tab……sameer…marane se toh bach gaya…..par……us din se wo ‘coma’ mein chala gaya…………….pichhale 15 saalo se sameer ‘coma’ mein hai…..”-boss
      “kya?”-sahil
      “haa……..”-boss
      “aur 15 saal aap papa ke saath aise the…..?...aap ne phir se shadi nahi ki…?...ya koi naya boyfriend nahi dhunda…?”-sahil
      “hmm.beta…pyar kiya hai maine….yahi meri zindagi hai…yahi mera sab kuchh hai……….sameer sab kuchh dekh sakata hai…….sun sakata hai……sparsh mehsus bhi kar sakata tha…….sirf bol nahi sakata aura pane haath paav hila nahi sakata……”-boss
      Sahil ko dekhkar sameer ke aako se aansu aane lage……
      Sahil bhi apane aap ko rone se rok nahi saka………
      apane PAPA ko gale lagaane ka usey intzaar tha…….
      Aur…..aagey pichhe ka kuchh soche bina…….
      Wo..apane PAPA taraf daudata chala gaya……….
      Aur usey jor se ‘hug’ kiya…….
      “papa………………….”
      sahil jor jor se rone laga…………..
      “tum mujhe chhodake kyu chale gaye the papa……….tumhe pata hai…..maine tumhe kitana miss kiya………………tumane tumhare sahil ko miss nahi kiya……?”-sahil
      Sameer ke aankho se bhi aansuo ki dhaaraye tezz behane lagi thi………
      Sab kuchh usake aansu hi bol rahe the……..
      “i love you..papa…….i love you…….”-sahil
      ………..sahil apane papa ke sine par sir rakhake ji bharake roya………….aur achanak
      Usey pata chala ki………PAPA ka dil dhadakana band ho gaya hai……..
      “sir……papa…………………..i am not getting his beats….”-sahil
      Aur ek bahut bada shor hua………..
      Har koi rone laga……
      PAPA shayad 15 saal se is pal ka intzaar kar rahe the…….
      Shayad isiliye wo zinda the ki………zindagi mein ek baar apane bête ko phir se sine se lagaye….
      Shayad….usane apane biwi ko diya hua…..vaada nibhaya tha…..ki jis din wo apane bête ko phirse milega …wo din usake zindagi ka aakhari din hoga………
      “sir …papa…mujhe phir se aisa dhoka nahi de sakate…….”-boss ne usey apane gale se lagaya……
      “ro mat…ab main bhi to tera papa hi hoo na………”-boss ne apane aansu ponchh liye…….sameer jaroor usase door gaya tha……par usaka khoon abhi bhi usake paas tha…….
      THE END

No comments:

Post a Comment