Monday, July 14, 2014

Rohz Love--EK NAYA MOD

"EK NAYA MOD" 
a story by  Rohz Love

PART - 1 

VIVEK pichhle panch salo se apane parivar se dur hostel m rah kar medical ki padai kar raha hai. Apane dost PRASHANT ki shadi ki tarikh najdeek aate hi. Usane jane ki taiyariyan shuru kar di aur fir sardi ki ek subah usane barabanki station par pahunch kar train pakadi. Train m vivek ke samane bali sheet par ek parivar aakar baitha. Us parivar ke beech pyar ko dekh kar use apane mummy papa ki yaad aa gayi aur usaki aakhen nam ho gayi thi. Afsos ki baat ye hai ki eklauti santan hoke bhi vivek apane maa baap ke pyar aur hak se mahrom rah gaya. Idhar safar m khidaki se aa rahi thandi hawa ke jhonke vivek ko bar bar jheekane par majbur karane lage. Nak ka rang badalkar ab gulabi ho gaya tha. Aur halka jukam bhi lagane laga tha. Lekin koi nahi tha usake bagal m pyar se thapaki dene ko ya khyal rakhne ko. Akele kisi tarah apani puri takat lagate huye usane jam pad gaye khidaki ke palle ko neeche giraya aur scarf ko nak ke upar lapetkar baith gaya. Vivek ka yahi akelapan kai mahino se prashant ko satay ja raha tha. Sabase kareebi dost hone ke nate sirf bo hi tha jo vivek ki bhavanao aur pasand napasand ko achche se samajhte aaya hai. Isliye usane faisala kiya tha Ki vivek ko bo is berukhi aur sunepan se nikalane ki puri koshish karega. Raste m joro ki bhukh lagte hi vivek agale station par gadi rukne ka intazar karne laga. Station aate hi usane train se utarkar chay aur khane ke liye kuch kachodiya le li fir jaldi se andar aakar garam garam kachodiyo ko usane do hisaso m toda aur us par chatni dalkar khane laga. In sab ke beech samne se aa rahi bhini khushabu bar bar usaka dyan kheechne lagi. Ha khushbu , khushbu jo aa rahi thi ghar ke khane se. Itane salo m usane bhala kaha chakha tha ghar ke khane ka swad , chatni ke teekhpan se vivek ki band hui nak to khul gayi lekin kuch bhuli bichadi yado se usaki aakhe nam ho gayi.  Saat saal pahale ki bat hai. Vivek highschool ka result leke ghar pahuncha hi tha ki papa mummy ke jhagdo ki awaj darbaje tak sunai de rahi thi.  "nitin tumne itana bada faisla akele kaise kar liya mujhe batana bhi jaruri nahi samajha" maa rote rote kah rahi thi.  "are naukari hi to chhodi h, koi aasman nahi gir pada hai, tum bas jake packing karo hame do din m nikalan h" papa ne chillate huye maa se kaha tha.  Din bhar maa ne bahut samajhane ki koshish ki lekin papa apani jid par ade rahe the. Usake bad hum dadi ke ghar rahane chale gayd the. Yahan tane aur ladaiya to roz roz ki bat ho gai thi. Akasar dono apane jhagdo ke beech kamare m vivek ki maujodagi ko bhi bhulane lage the. Kai bar bo rote rote dadi ke pass sone chala jaya karta tha. Fir do saal bad usake hostel jate hi dono alag ho gaye jaise unko bas isi din ka intazar tha. Dheere dheere vakt ke sath bo bhi unase dur hota chala gaya aur ab to phone bhi bas halchal ya fees ke silsile m kabhi kabhar aa jata hai. Ajeeb bat thi ki jindagi ke mod par maa baap ne to niji karyo se apane raste chun liye the lekin in sabke beech kahin peeche chotta chala gaya tha sirf vivek. Gadi m 1 bajate hi vivek aur usaki manzil ke beech ke fasle kam hone lage train ki raftar dheemi hote dekh usane apana sara saman band liya aur fir station aane ke intazar m baicheni bhari nigaho se khidaki ke bahar taktaki lagayi aakho se dekhne laga . Thodi der m station aa gaya MANKAPURA JANCATION. Sabke utar jane ke bad bina hadbadi dikhaye vivek ne jab apana pahala kadam plateform par rakha to laga jaise kisi ne padi hui kitab khol ke rakh di ho usake samane. Kuch bhi to nahi badala sab pahle jaisa hi hai. Saman dekhkar kuch dur khada kuli usake pass dauda chala aaya  "sahab kuli"- kuli  "nahi main utha lunga" kahke bo aage bad gaya.  Akelepan ne vivek ko khud ka bojh uthana sikha hi diya tha. Thodi dur plateform par usi jagah ek chota sa book staul dikha jahan se bachapan m papa safar se pahale vivek ke liye comix kharida karte the. Champak, chacha chaudari, pinki, nagraj sabi line se lagi thi vahan har taraf tasalli bhari najar se dekhane ke bad bo chehare par muskan liye bahar aaya. Samane jane pahchane rasto par chalte chalte kuch dur raste par khadi bus ko dekhkar usane apane kadamo ki raftar badayi aur jaldi se andar chad gaya. Kuch hi der m bus township pahunch gayi. Jahan vivek ne apana bachpan gujara tha. Yahan logo ke jude gharo ki khidakiyo se jhagade ho ya khushiya aas padosh se chhipaye nahi chipte . Thodi der m vivek ka purana ghar aa gaya. Rokake bhaiya usane peeche se drivar ko aawaj di. Gali m thodi dur chalte hi use ghar nazar aane laga. Ha ghar bahar lohe ka darwaja niharte huye usako laga jaise maa abhi usake bal thik karte huye kah rahi hai beta jaldi bapas aa jana kal ki tarah khelane mat lagna papa datenge. Ghar to vahi tha agar kuch badala tha to usame rahane bale log. Ab na to maa thi aur na datne wale papa. Darwaje ke samane khade hoke usake apana aangan ghum liya. Dayi taraf bala kamra usaka tha. Aur mummy papa ka samne wala. . . . . . . . . . . . Continue



PART - 2 

 kuch kapade latake dikhe aangan m vahan to maa gamale rakhate thi. Lagta tha mano bahar ki hariyali ghar m bhar aayi ho. Kitane to paudhe the rat ki rani, chuhi, champa aur khas taur par maa ka pasandida bela. In sab m vivek ko pasand thi gili mitti ki khushbu jo pani dalte bakt gamlo se aati thi. Thodi der bad in khubsurat yado ke jharokho se hote huye vivek apane dost pallavi ke ghar ki aur chal diya.  Rangeen jhalare aur pholo ki ladiya kitani khubsurat lagti hain shadi wale gharo m raunak se bharpoor, kuch bachche daudte huye vivek ke kareeb se gujare, bagal se kandho par mithaiyo ki tokariya liye log chale jaa rahe the. In sab se hote huye vo ghar ke andar pahuncha. Samne prashant ki maa khadi thi ek pal ke liye bo pahchan hi nahi payi fir aankho m chamak liye pass aa gayi "are beta tu aa gaya kitana bada ho gaya hai. Ab yaad aayi apani aunty ki" kahte huye bo pass aa gayi fir sar par pyar se hath ferte huye kahne lagi " jao samalo apane pagale dost ko kabse kamare m baitha teri rah dekh raha hai."  vivek ke kamre m aate hi prashant ne apani kabhi na khatam hone bali sawalo ki ladi jhed di "kidhar tha tu itani der se dekho kitna time ho gaya, main kabse tumhara intzar kar raha hu vivek."  "are yaar ab bus bhi kar chal pahle gale to mil" - khushi se kahte vivek prashant ke pass aa gaya. Apane mel-milap ke bad kamre m maujod baki logo se prashant ne ek - ek karke vivek ko milbaya dadi , didi, bua, mausi ka ladaka, delhi bala cousin aur pata nahi kuan kuan aakhiri intro tak to vivek sabke nam bhi bhul chuka tha. Tabhi hath m mithaiyo ka dabba liye muskurata ek ladaka andar aaya.  "vivek lo muh to meetha karo tumhara sabse achche dost shadi ke laddu khane bala hai" Us ladake ne kaha.  Isase pahale vivek kuch jabab deta prashant ne kaha aa gaye tum vaise vivek mujhse jyada to ye tumhara subah se intazar kar raha hai.  "hye! Main aman." - aman  jhijhkati hui halki muskan leke vivek ne aman ke chehare ki aur dekha "tum......" -vivek  "tum mujhe bhul hi gaye hum bachpan m ek hi bus se school jaya karte the , yaad aaya . . . " -aman  ooh achcha achcha kahte huye vivek ne apana saman prashant ke kamrd m rakha aur phir sab bahar chale gaye. Udhar pandal m khana lag chuka tha. Khane ke bad baki sare parivar balo ka rahne ka intzam kuch dur bane guest house m kiya gaya. Ghar m lagi bheed dheere dheere rat hone tak badalo ke guchchho ki tarah gawa ke sath ud gayi. Thandi hawao ko mahasus karte vivek bahar laun m padi kursi par jakar baith gaya aur aasman m timtimate taro ko niharte bo un palo ko yad karne laga jab sardiyo ke dino m sabke sath aangan m baithake bo angithi senka karta tha. Tabhi vivek ko itani thand m bahar baitha dekhkar aman andar se saul le aaya. "ye lo ood lo isako, thand lag jayegi" -aman  "are.... Isaki kya jarurat thi" vivek ne hichkichate huye kaha.  "are tum formality bahut karte ho vivek vaise andar aao prashant khane par intazar kar raha hai tumhara"- aman  kuch der m khane ke beech dosto ki nayi purani bate shuru ho gayi.  "vaise vivek jaldi se bata kya chal raha hai tumahari life m, koi girlfriend bani ki nahi" - prashant  "kya yaar kahan banegi tum jo nahi the dundane ke liye...... Achcha jukam ki koi dabai ho to do na" jheenkate huye vivek ne kaha.  "are yar tum ban chuke doctor ek jukam ne dekh teri kya halat kar di hai." kahte huye prashant ne mej par rakha chay ka cup badaya.  "achcha vivek tum itminan se chay pio aur mej ke dusare daraj m kuch dabaiya rakhi hai. Jarurat lage to le lena main chalta hu bahar sab intzar kar rahe hoge" -prashant.  Shadi ki ho rahi tamam rasamo ke beech vivek ko ek bar fir raat ke akelepan ne gher liya tha.  Subah hote hi ghar m jor shor se taiyariya chalane lagi hai. Udhar haldi ke pakke rang se prashant aur bhi khubsurat dikhne laga mano dhoop ki sunhari kirano ne usako charo or se gher liya ho. Dulha ka sabse kareebi dost hone ke nate rasm ke dauran vahan kuch khadi aurato ne vivek ko bhi haldi laga di. Itane m ye dekh ke aman photographer ko bula laya. "Bhaiya thik se photo lena hamare do do dulho ki." - aman  "do nahi ek" vivek ne apane galo par se haldi chhudate huye kaha.  "are vivek tujhe itana bhi nahi pata dulhe ke dost ko jab haldi lagti hai isaka ye matlab hai agala number usaka hai.  Is par prashant ne hanste huye ther sara haldi ka lep aman ke chehare par bhi laga diya. "lo ab to tumhara number bhi laga diya" -prashant  hasi majak ke beech kafi der tak teeno dost vahin photo khinchvate rahe. Kabhi aman ka hath vivek ke kandho ko chhuta to kabhi peeth ko. Aman ka itana pass hona vivek ke liye thoda ajeeb sa tha lekin ye anjana sa sparsh usako kuch apana sa lagne laga tha. Sham hote hote mehandi ba sangeet ki rasme bhi shuru ho gayi thi. Ek or prashant naye rishto ka rang apane hatho par chada raha tha aur vahin dusari or vivek apane ateet ki lakiro ko dekh raha tha. Khushi ke mahaul m, dholak ki thap aur shorgul m bo dur se prashant ki maa aur unaki bato ko mahsus kar raha tha. . . . . . . . . 

LAST PART -3 

 kabhi maa prashant ki balaye leti to kabhi dono apani aakho m chamkeele matiyo ke sath khilkhila dete aur dur se dekh rahe vivek ke pass to koi bhi aisa nahi tha jo in pyar bhare risto ki barish m usako bhigota. Apani soch m dube vivek ko pata bhi nahi chala ki kab aman usake kareeb aake baith gaya.  "bahut achchi lag rahi hai, haldi tumhare upar" vivek ke udas soch ko todate huye usane photos ki taraf dekhte huye kaha.  "kyun bhala aisa kya khas hai is haldi m" aman se najare churate huye usane photos lete huye kaha.  "kyun is haldi ne usko chhua hai jisako pichle kai baras se koi nahi chhu paya hoga."- aman ye baat sunte hi usane aman ki taraf dekha. Aman ki aankhe jaise usase bahut kuch kahana chah rahi ho. Vivek apane chehare par mayusi liye vahan se uthke logo ki bheed se hote huye bahar chala gaya. Usake maan m kai sawal uthane lage the. Aman aakhir hai hi kaun usaka is tarah se hamdardi jatana aur ye fijul ka apanapan bo aakhir chahta kya hai. Tabhi peeche se aati kadamo ki aahat sunke vivek ne apane chehare par gir aansu ko daldi se ponchha. Aman usako dundta hua bahar chala aaya tha. "Andhere m kyun khade ho vivek" - aman  "bus yun hi....... aman mujhe akela chhod do please."- vivek  "vivek tum chaho to mujhse share kar sakte ho" aman ne pyar se usake kandhe par hath rakha aur samjhate huye kaha "mujhe sab pta hai mujhko prashant ne bataya tha ki ab tumhare mummy papa sath nahi rahte. Mana ki beeta vakt bahut mushkil raha hoga. Par aane wala vakt bhi vaisa hi ho ye jaruri to nahi hai na."  vivek ab aman ko kaise batata ki usane apani jindagi sirf kuch logo ke darmiyan samet li hai. Pichhle kuch salo m usane apane sath m pad rahe logo se bhi thang se bat nahi ki thi. Maa papa ke alag hone ke bad usane apana jyadatar vakt akele hostel ki char diwari ke beech ya fir kitabo ke sath bitaya tha. Bina kuch kahe vivek aman ko un sawalo ke beech chhod ke chala gaya.  Agali subah prashant sabse pahale vivek se bo jaruri bat karne kamre m aaya jo usake maan m kai mahino se chal rahi thi. Usako intazar tha to bus aaj ke din ka.  "Vivek pta hai is beech kitani bar main aman se mila hun bo har bar bus tumhare bare m punchta rahta tha tum kaisi ho, kahan ho. Maine to usase kai bar kaha number le lo khud hi bat kar lo par usane mana kar diya ki kahin tumko bura na lag jaye. Main ye nahi janta ki tum GAY ho ya nahi lekin jis tarah se girl ko ignore karte ho mujhe lagta hai ki tum ........ Vivek AMAN achchha ladka hai bo tumko pasand karta hai aur main chahta hun ki tum usako ek mauka do." -prashant  prashant ki ye bate sunke usako aman ka itana kareeb aana, usaka dhyan rakhna sab samajh aane laga tha.  "Par prashant tumne pahle to kabhi in cheejo ka jikr nahi kiya" - vivek  "vivek main sahi vakt ka intazar kar raha tha aur tumhe bhi kahan yad tha AMAN. Main chahta tha zindagi ke is naye mod ko tum khud mahsus karo fir koi faisala lo. Ab main chalta hun tum bhi jake ready ho jao" itana kahake prashant chala gaya.  Idhar vivek ko kal rat bina kuch kahe sune aman ki bato ko ansuna karne par bahut afsos hua. Kuch hi der m BARAT jane wali thi. Vivek ki aankhe keval aman ko dund rahi thi. Bo kahin najar nahi aa raha tha. Rashme hoti rahi aur vivek ke intazar m idhar-udhar dekhta raha. Aman barat m bhi nahi aaya tha, ab vivek ka kahin maan nahi lag raha tha bo ekbar aman se milke mafi mangna chahta tha. Dulhan apane ghar ko chhodkar sasural aa gayi thi. Kal subah vivek ko jana tha. Raat bhar bo aman ko yad karta raha.  Jane se pahle vivek prashant se aakhiri bar milne gaya. "Prashant mujhe aman se mafi mangni hai. Agali bar jab tumhari aman se mulakat ho meri mafi us tak pahuncha dena" - vivek  "vivek abhi bhi vakt hai apani galati ko khud hi sudharne ki koshish karo na." aman ka phone number dete huye usane kaha.  "ab mujhe jaldi milne ka mauka dena. Bye take care....." - prashant  "ha..... Bye"- vivek  aur vivek bus m baith ke station ki taraf nikal gaya. Par raste bhar kuch aur tha jo usake maan m ubal raha tha. Prashant ki kahin hui bate usako baichen kar rahi thi. Itane m usaka phone baja to Aman ka message tha. " maaf karna vivek shayad main tumse thik se pesh nahi aa paya. Tumhara us raat bina kuch kahe sune chale jana mujhko bura laga. Vivek main tumse pyar karta hun. Tumko is tarah se naraj nahi karna chahta tha. Aage sab tum par hai mujhe tumhare jabab ka intazar rahega."  aman ka ye message vivek ke chehare par ek halki muskan le aaya. Usaka baichen maan jaise kuch kahna chah raha tha. Pahali bar usane apane dimag ki na sunte huye dil ki aawaj suni. Khud ba khud usake hath message type karne lage. . . . . . . . . . . .  Bus itani si thi ye story friends!!!! 


= = = = = = = = = = = = =  = = = = = = = = = = = = =  = = = = THE END = = = =  = = = = = = = = 

No comments:

Post a Comment