Aaj subah utha to FM pe suna aaj Fathers day hai…
Dil me ek khayal aaya…. Papa… apne zindagi ka family ka ek strong pillar jo puri family ko sambhalte hai like backbone… aur aksar unke strict nature ki wajah se hum unhe samajh nahi pate.
Aksar Maa pe filme banti hai gaane bante hai dialogs bante hai “mere pass maa hai” aur papa ko aksar insab baato me jyada importance nahi milta. Undoubtedly Maa is god gift for us… Par aaj me likhna chahta hu us baap pe jo har ek family ka base hota hai…
Krishna bhagwan ko hum Yashoda ka ladla, Devki ka gopal kehkar jante hai par hum un Vasudev ko nahi bhul sakte jinhone apni parvaah kiye bina sirf apne bête ki jaan bachane ke liye Yamuna nadi ki baadh me chale gaye…
Ramayan me hum jante hai ek maa jisne apne bête ke liye Raam ka vanvaas manga tha apne pati se,ek bhai jisne apni biwi ko chhodke bhai ke sath vanvas swikar kiya, Ek Patni jisne apna Mehel chhod diya sirf apne Pati ke liye, Ek pati jo apni patni ke alawa kisi aur ka na ho paya to hum us Dashrat Pita ko bhi nahi bhul sakte jisne ‘Putra virah’ me apne pran tyag diye.
Maa apne bête ko 9months apne womb me rakhti hai aur hum sab jante hai kitne dard ke baad woh apne bachhe ko janm deti hai… us maa ka dard hame to dikh jata hai par usi operation theatre ke bahar paseene se lathpath us baap ko koi nahi dekhta… Jo dard ander maa ko hota hai wahi dard bahar ek pitaah mehsus krta hai, Ek taraf Bete ke aane ki khushi aur dusri taraf biwi ka dard in dono baato me fasa hua woh baap jo kuch bol to nahi pata par uske mathe ka pasina uska dar,uska dard, uski ghabrahat ka proof deta hai. Jab woh apne bête ko pehli baar hath me leta hai to uski aankhe bhar aati hai par woh apni feeling kisiko bata nahi pata kyunki us waqt uski biwi ko uski jarurat hoti hai.
Us din janm 1 bachhe ka nahi hota to ek maa baap ka bhi hota hai. Jaha ek Maa apne bête ko sanskar gyan dene me lag jati hai wahi baap uska future secure krne ke liye aur mehnat karne lagta hai aur isiliye woh apne bête ko kam time de pata hai par beta kitni aasani se keh deta hai “papa aapke pass to mere liye time hi nahi hai” par kya ye sach hota hai? Nahi… Ye baat uske dil ko chot pahuchati hai par use emotional nahi practical hokar sochna padta hai ki agar use uske bachhe ko best education deni hai to use ye karna hi hoga.
woh baap jo salary aane ke baad pehle bachhe fir patni aur aakhri me paise bache to khud ke liye kuch kharidta hai woh swarthi kaise ho sakta hai.
Jab usi Pitah ki maa ya baap ki death hoti hai to uska man hota hai jor jor se rone ka par woh fir se apni feelings daba deta hai kyunki uswaqt unhe uske chote bhai behen ko sambhalna jyada jaruri hota hai, apne bachhon ko sambhalna hota hai… Ek aurat rokar apna man halka kar deti hai par aadmi aisa nahi kar sakta kyunki use strong dekhkar hi uska pura ghar chain ki sans leta hai. Par fir wahi Baap bathroom me nahane ke bahane se jakar jor jor se rota hai.
Maa ghar ka gaurav hoti hai to pita astitva,
Maa dono time ka khana banati hai aur baap zindagibhar ke khane ka intejam krta hai aur unhe hi hum badi aasani se bhul jate hai.
Jab chot lage to to muh se Maa nikalta hai par jab raste pe koi truck achanak se aajaye to “baap re” hi muh se nikalta hai…bas mtlb aasan hai chote sankato ke waqt maa to aksar sath hoti hi hai par bade sankat aane pe pita hi yaad aate hai.
Maa ka aanchal jitna yaad rehta hai utna hi pita ka hath jise pakadke hum rasta cross krte hai.
Ha at times woh bahot jyada strict hojate hai… hamari har baat nahi mante… par woh sab hamari bhalai ke liye hi to hota hai… aur ye hum tab samjhenge jab hum khud baap banenge…
Maa se har koi pyaar karta hai par aksar dad ko misunderstood kr liya jata hai unke gusse me jo pyaar hai woh hum dekh nahi pate par jab hum samjhenge ke woh hamare liye kya karte hai kya kar chuke hai aur kis had tk humse pyaar karte hai hame sambhalte hai hame protect karte hai to bas us din se hame hamara role model dhundhne bahar nahi jana padega…. Woh yahi hai hamare samne hamare PAPA…
Agar beta 2Rs ki chocolate bhi apne dad ke liye le aaye to woh itne khush honge ki sari duniya ko batate firenge. Itna pyaar to shayad hi koi kisiko karta hoga jitna parents apne bachhon se karte hai…. Maa bolkar jatati hai aur baap binbole hi sab kuch bol dete hai….. Maa apne bacche ko duniya me jine ke kabil banati hai to baap uske liye duniya banata hai…..
Dad, aap hai to hum hai, hum hai to sabkuch hai aur agar aap nahi to kuch bhi nahi…
HAPPY FATHERS DAY TO ALL THE FATHERS IN THE WORLD….
No comments:
Post a Comment