**********KITNE AJEEB RISHTEY HAI YAHAN PE********
(This is my First story, my first attempt to write something. Hope you people like it .)
Time : 5:00pm
Mandovi bridge par hamesha ki tarah dher sara traffic aur bridge ke foothpath pe ek ladka porvorim se panajim ki disha me chal raha tha. Wo bridge par beech me aake rook jaata ha, aur niche paani ki taraf dekhta hai. Use apne ek dost se kahii huyi baat yaad aati hai “suicide?? Yaar main to kabhi hargeez suicide ke bare me soch nahi sakta. mujhme itne guts nahi hai ki main kabhi suicide karu.. aur agar maine suicide kiya to mere family ka kya hoga yaar? Omg… kabhi nahi” Uski aankhon me aasu aa gaye wo bridge ke upar chada aur paani me kud gaya……………………………
Ye tha Kabir, jo suicide ke naam se darta tha, aaj kya wajah thi ki usne itna bada kadam bina hichkichaye utha liya?
***************
Do saal pehle………
Kabir ka ghar (in porvorim)*******
Kaano me headphones lagaake , mobile haath me pakde apni hi dhoond me dance kar raha tha. Kabir: saawlaa rang, height: 5 ft 8 inch, waist 30, normal looks, simple sa ladka. Achanak sir pe ek tapli padi, usne headphones nikaale aur hairaan hoker dekha to piche maa thi.
Kabir: Maa? Kya hua (ek dum roni surat banake)
Maa: kabse chilla rahi hoon . behra ho gya hai?
Kabir: oh sorry Maa: Kal ki saari tayaariya ho gayi? Kapde wagerah ironing kar diye? Kal uske job ka pehla din tha. Wo MSc. kar chukka tha, aur abhi pharmaceutical company me job lag gayi thi. Kabir: Nahi maa .. plz.. main baadme kar lunga. Maa: Tik hai. Par kal subah mujhse kuch mat puchna. Kabir: Maa… aaj dinner me kya hai? Maa: sir hai mera.. khayega? Kabir: Nahiiiiiiiii… kabhi to koi achi si dish banaake khilawo. Aapko to kuch bhi nahi aata. Maa: haan teri biwi aayegi to acha bana ke kha lena Kabir: meri biwi ka wait nahi karna… main khudh hi bana leta hoon Maa: chal aaja kitchen me bana le jo banana hai Kabir kitchen me gaya , Gobi Manchurian banaya. Tamanna: eeeeeeew ye kya banaya hai? Kabir: tere liye nahi hai tu mat khana. Tamanna , kabir ki behen hamesha ladte rehte .kabhi ek dusre se sidhe mooh baat nahi ki Maa: tamanna jao papa aur bhaiya ko dinner ke liye bulavo. Tamanna: ok. Par mujhe ye nahi chahiye.. kuch aur hai to hi main dinner karungi Kabir: arey jaa tujhe aaj khana nahi milega. Kabir ka bhai, sameer, kabir se ek saal bada aur behen 2 saal choti Bhai ne Mcom kiya tha aur behen Bcom final year me padh rahi thi. Kabir ko ghar me sabhi pyaar karte the. Wo apne bhai aur behen ke saath hamesha ladta par wo dono bhi ussse bahut chahte the. Ek pal ke liye bhi wo teeno ek dusre se dur nahi reh sakte the. Hamesha ek dusre ki fikr unnhe rehti. Teeno bachcho me se kabir uske maa aur papa ka favourite tha. Iss baat ko lekar bhi teeno bhai behen hamesha jhagdte. Khush tha kabir apne parivaar ke saath, itna pyaara parivaar jot ha uska. Par jab yehi shararati natkhat kabir ghar ke bahar jaata to wo ekdum sharmila, simple, kisi se zyada baate naa karnewala ek ajeeb sa ladka ban jaata. Uske jyada dost to nahi the, par jo use jaante the wo use bahut chahte the. Baaki duniya ke liye Kabir ek paheli tha. Par wo ek baat me alag tha, use ladke pasand the. College me jab baaki ladke ladkiyon ki baate karte to kabir ko unme koi interest nahi rehta. Apni puri student Life usne sirf padhaai karne me laga di. Pyaar vyaar ke bare me to shayad usne kabhi socha bhi nahi. Aisa tha Kabir.
******************************************************
Kabir agle din office pahuncha, uske seniors ne use welcome kiya, uska kaam samjhaya, aur use uska cabin dikhaya. Wo bahut khush tha. Wo cabin me bait kar apna kaam samajhne ki koshish kar raha tha ki tabhi darwaaje pe knock hua. Shalin: may I come in sir? Kabir: yess please Kabir ne dekha ki ek 21-22 saal ka ladka, gora, thoda sa mota bilkul chubby type ka andar aaya. Shalin: Sir good morning Kabir: good morning Shalin: sir I m shalin n I m ur assistant sir Kabir: oh (kabir apni chair se uth kar use hand shake kar liya) Shalin: welcome to the company sir Kabir : yaar plz mujhe sir sir mat bulaawo. U cn call me Kabir Shalin: ok sir, I mean kabir Kabir : hmmm dats better Shalin Bsc karke immediately iss company me join hua tha, use yahan ek saal ho gaya tha, aur , Shalin ne kabir ki kaam samajhne me bahut madat ki, aur kuch hi dino me wo achche dost bhi ban gaye. Kabir ke liye shalin assistant kam aur dost jyada tha. Aur wo hamesha shalin ko protect karta, uski har galti ko sambhaal leta. Shalin bhi kabir ki bahut ijjat karta. Usse Kabir se bahut kuch sikhne mila, sirf kaam ke bare me nahi par Zindagi ko kaise jiya jaaye wo bhi. ……………..to be cont.
(Second Half)
Kabir ki zindagi achi chal rahi thi. Ek saal hone ko aaya tha use company join karke. Aur wo apni job aur personal life dono me bahut khush tha.Par pata nahi shayad kismat ko kuch aur manjoor tha, achanak ek din aise hi office me bait ke wo kuch soch raha tha, ki kya wo akela hoga jo ladkon ko pasand karta hai, aur bhi to log honge… sochte sochte usne internet on kiya aur kuch hi palo me wo FACEBOOK ki ajeeb si duniya me pahunch gaya. Usne apna ek fake account banaya “KABIRAA HERE”.
WEB ki duniya… WEB ek tarah ka jaal . Yaha jo koi aata hai wo to fir iss jaal me ulajhta hi jaata hai. Ek hi din me kabir ko bahut saari frend request mili. Usne karib 40 logon ko ek hi din me add kiya. Aur uska pehla message thaHot top: hiKabira: hiHot top: u top o btm?Kabir ne socha ye kya? Usne log out kiya aur apne kaam me busy ho gaya
Kuch din usne wo account on nahi kiya. Phir waapas ek din use pata nahi kya sujhaa, usne log in kiya, aur bhi frend request thi, aur kuch messages, har message me top, bottom, sex, suck, fuck yahi shabd thePar ek message tha jisme likha tha…”Cute John: hello der, m 21 yrs frm mapusa, lukin for frends, wanna b my frend?” kabir ne uss message ko reply kiya.. apni jaankaari di or kaha “yes frends”…Tabhi use reply aayaCute john: hey hiiKabira: heyCute john: tell me more abt u.
Aur bass chatting ka silsila shuru hua. Apni zyada personal info to share nahi ki, par ek mahine tk wo dono chatting karte rahe. Aur ek din cute john ne kabir ko milne ke liye kaha. Kabir ready tha, dono miley aur ache dost bhi ban gaye. Uska naam sidharth tha. Bahut cute tha wo Gora sa, patla sa, dono ek dusre se bahut baate kar chuke the. Use kabir ke look se koi problem nahi thi
Kabir ko ek naya pyara aur achcha sa dost mil gaya tha jiske saath wo saari baate share kar sakta tha. Wo sid ko apne dil ki har baat batata. Aur sid bhi har choti badi baat ko kabir ke saath share karta.
Issi bich ek din Shalin office nahi aaya. Next day Kabir ne use pucha to pata chala ki uske kissi frend ne Suicide kar liya tha,Shalin: kaise yaar koi apni zindagi apne haato khatam kar sakta hai?Kabir: Pata nahi .Shalin : agar tumhari zindagi me koi bhi problem ho to kya tum aisa kadam utha paawoge?Kabir: suicide?? Yaar main to kabhi hargeez suicide ke bare me soch nahi sakta. mujhme itne guts nahi hai ki main kabhi suicide karu.. aur agar maine suicide kiya to mere family ka kya hoga yaar? Omg… kabhi nahi.Shalin: very good boyKabir: HahahaShalin: seriously yaar, agar kabhi galti se tumne suicide kiya to main bhi kar lungaKabir: kya? PAgal ho gaye ho kya?Shalin: u r the best frend any person can hv kabir, I hv lost 1 of my best frend now I cant lose anymore (aur uski aanke bhar aayi)Kabir: paagal, main nahi kar raha yaar suicide.. hahahaha*******************************************
Sid aur Kabir ki Dosti ko ab 6 mahine ho rahe the , ek din wo aise hi baate kar rahe theSid: Kabir, tumhara pyaar ke bare me kyaa khayal hai?Kabir: pyaar? Wo to sirf movies me hota hai. Real life me pyaar nahi hota.Sid: nahi yaar pyaar me hona is the best thing in d worldKabir: achcha ? tumhe ho gaya hai kya?Sid: haan.. tumse..Kabir: kya? Sid: haan..Kabir: paagal…Sid: hahahaSid: dekho yaar main to pyaar karunga… par use jo puri duniyaa ke saamne apne pyaar ka izhaar kare, puri duniya ke saamne mujhe accept kareKabir: agar maine kar diya toh?Sid: ussi din tumhe haan keh dunga,tumhare jaisa DIl uparwaale ne aur banana band kar diya hai.., agar mujhe tumhara pyaar milega to meri hi khush naseebi hogi..Kabir: dekh kisi din propose kiya to naa mat keh dena..Sid: tu kar ke to dekh , tera haath thaam lungaKabir: chal aaj mujhe ghar jaldi pahunchnaa haiSid: thik hai tum jaao, I ll manage on my own… tk careKabir: tk crSamay bit raha tha… kabir ko apnii zindagi aur bhi khoobsurat lag rahi thi..********************************************************
Maa: kabir tera 25th birthday aa raha hai, apne sabhi frends ko lunch ke liye invite karnaKabir: ok maa (Kabir bahut khush hua… )Usne sabhi frends ko invite kiya tha.. shalin sid, aur uske kuch college frends
Party kaa din aaya Shalin aur Sid apne apne families ke saath aaye the, Kabir ke college frends aur Kabir ke baaki relatives bhi the .. lunch ke baad sab log ek dusre se baate karne me busy the tabhi Kabir ne announcement kiKabir: Ladies and gentlemen may I hv ur attention plz..Kabir: Sid, kya tum yaha aa sakte ho?Sid hairaan hua.. ki isse kyaa ho gaya hai?Kabir: Aaj main aap sab ke saamne ek baat kehna chahta hoon..Sid abhi bhi hairaan hi thaKabir: Main Sid se pyaar karta hoon Aur apni puri zindagi iske saath bitaana chahta hoon.Ek sannnata sa cha gaya.. sab log hairaan the.. sid ke aankhe khuli ki khuli reh gayiSid: Kabir (sid ne gusse se chillate huye kaha)Sid: tum paagal ho gaye ho? Tumhe jara sa bhi hosh hai kit um kya keh rahe ho? Meri dosti ka tumne aisa matlab nikaala?Sid: main tumhari tarah GAY nahi hoon…
Ye sunte hi KAbir ke hosh hi udd gaye… Sid ko kya hua tha? Wo sochta reh gaya...Sid: mujhe tumse ye umeed nahi thi… I hate u..Sid apne family ke saath wahan se chala gaya..Kabir ko samajh nahi aaya ki ye kya ho gayaAgle hi pal Kabir ke Gaal par ek zor ka chanta pada.. uske papa ke haaton, Papa: ye sab karte huye tune apne parivaar ke bare ek baar bhi nahi socha? (papa bahut gusse me the)Maa: sharm nahi aati tujhe aisi harkat karte huwe.. mujhe to uss din pe rona aa raha hai jis din tu humaare ghar paida hua..Papa: humen iss society me rehna hai.. chala jaa yaha se. aaj ke baad apni shakl mat dikhanaMaa: bhul jaayenge hum ki humaarey 3 bachche haiUske maa aur papa waha se chale gayeSameer uske paas aayaSameer: I m feeling disgusted to call u my brother, ghin aa rahi hai mujhe tujhseTamanna: aapne hum logon ko bahut thes pahunchayi hai bhaiya.. feeling ashamedWo dono bhi waha se chale gayeKabir ke bakki frends aur relatives bhi use ek ajeeb sa look dete huye waha se chale gaye
Kabir to jaise toot gaya tha, wo ghutno ke bal niche baita, tabhi uske kandhe pe kisi ne haath rakha, wo shalin tha, uski aankho me aasu the, usne kabir ko gale lagaya… par uske parents ne use khinch ke kabir se alag kiya aur kaha ki agar use kabir se dosti rakhni hai to wo log use kabhi maaf nahi karenge… wo shalin ko khichte huye waha se lekar chale gaye
Kabir ke aas paas koi nahi tha. Wo bahar aaya, usne dekha ki sid saamne tha, sid ko dekh kar bhi uska chehra nahi badla. Uske chehre se saare expressions jaise gaayab ho chuke the…Sid: I m sorry.. main apne family ke saamne nahi accept kar paaya yaar.. wo rone lagaKabir: Sid , plz yaha se chale jaao, mujhe akele rehna hai, plzKabir ne dhimi si awaaz me Sid se kahaSid: itna aasaan nahi hota yaar, mujhe thoda t…… Kabir : jaa naa yaar plzzz (kabir ne sid ko tokte huye kaha)Sid: ok.. Hum kal baat karenge
Kabir ke dimaag me abhi kuch pal pehle jo bhi huwa wo baar baar replay ho raha tha, kaise wo apne parivaar ke upar ek kalank ban gaya
Uski maa jiska wo laadla tha aaj wo ye bhool jaana chahti thi ki kabir unka beta haiUske pita jinki wo jaan tha aaj society ke bare me itna sochne lage ki unke apne bête ki haalat pe unko taras nahi aayaUske bhai behen jinke liye kabir jaan bhi de deta wo aaj uske gay hone se disgusted aur shameful feel kar rahe theUske dost jo use itna chahte the wo bhi use nafrat karne lage theAur SID… jisne ye daawaa kiya tha ki wo uska haath thaam lega. Uski bhi saari baaten khokli nikli, Kabir ka har Ek rishta piche choot gaya, wo apna koi bhi rishta shayad tik se nibha nahi paaya.
Ye sab sochte sochte wo kab maandovi bridge par pahuncha use pata nahi chala, wo bich me aake rook gayaUse suicide waali baat yaad aayi.. usne uparwaale se kaha ki agle janam me main aisa kuch naa karu ki mere saare Rishtey mujhse iss kadr rooth jaaye. … Aur wo paani me kud gaya………………………………………………………………..
Do pal milte haiSaath Saath chalet haiJab mod aaye toBach ke nikalte haiKitne Ajeeb Rishtey hai yahan peKitne Ajeeb Rishtey hai yahan pe……………………………………………
sayad aksar yahi hota hai. gay hona bht shamful hota hai. kehte hai bhagwan insan bnate hai. to unhone hi hume bnaya hoga. phr kya hum logo ki life shaapit karke bnate hai. sachi pyar to dur ki baat hai. jb humara wajoot hi khatre me hai to pyar ki ummed v kya karna. ek pal me kabir k liye sb paraye ho gaye. ye duniya sayad insan nhi insan k gun ko pyar krta h. gay life is a worse curse to serious person. :[
ReplyDelete..SREE..
(y)
DeleteAwsome story. :') , You are an awsom writer. You bring life to emotions. Keep writing these stories. (y) (y)
ReplyDelete